Re: Bait Bazi-II 2006
Ho sakay tou aap humko aazma kar dekhiye
kitni wus'at hay humarey dil mein aa kar dekhiye
Mosam-e-gul aa chuka hay bagh-e-dil mein aap bhi
phool koii pyaar ka ab tou khilaa kar dekhiye
Ye''
Re: Bait Bazi-II 2006
Ho sakay tou aap humko aazma kar dekhiye
kitni wus'at hay humarey dil mein aa kar dekhiye
Mosam-e-gul aa chuka hay bagh-e-dil mein aap bhi
phool koii pyaar ka ab tou khilaa kar dekhiye
Ye''
Re: Bait Bazi-II 2006
yaade.n chalii.n Khayaal chalaa ashk-e-tar chale
lekar payaam-e-shauq ka_ii naamabar chale
dil ko sa.nbhaalate rahe har haadase pe ham
ab kyaa kare.n ki Khud tere gesuu bikhar chale
"Ye"
Re: Bait Bazi-II 2006
yakeen hay k na aye ga mujhe say milnay koi
to phir dil ko mairay yhe intezar kaisa hay
Re: Bait Bazi-II 2006
yakeen hay k na aye ga mujhe say milnay koi
to phir dil ko mairay yhe intezar kaisa hay
** "hey"**
Re: Bait Bazi-II 2006
yun aisay uthay hum apni galli se "Aah"
jeisay koi jaha'n se uthta hey
Re: Bait Bazi-II 2006
** "hey"**
hay nahi....yeh
Re: Bait Bazi-II 2006
Ye khayaal saarey heiN aarzi, ye gulaab saarey heiN kaagzi
gul-e-aarzu ki jo baas they, wo log hum sey bichar gaey
"Ye"
Re: Bait Bazi-II 2006
Yeh Sard Raat Yeh Aawargi Yeh Neend Ka Bojh
Hum Apne Shahr Main Hote To Ghar Gaye Hote
Re: Bait Bazi-II 2006
yuu.N na mil mujh se Khafaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise
**log yuu.N dekh kar ha.Ns dete hai.n
tuu mujhe bhuul gayaa ho jaise**
Re: Bait Bazi-II 2006
ye haadasaat jo hai.n iztaraab kaa paiGaam
ye haadasaat hii aaye.nge saazagaar mujhe
'Aziz' ahal-e-chaman kii shikaayat besud
fareb de ga_ii rangiinii-e-bahaar mujhe
"Ye"
Re: Bait Bazi-II 2006
Yeh Aarzoo Thi Tujhe Gul Ke Rubaru Karte
Hum Aur Bulbul E Betaab Guftagu Karte !
Re: Bait Bazi-II 2006
ye aarazuu hii rahii ko_ii aarazuu karate
Khud apanii aag me.n jalate jigar lahuu karate
tere Khayaal me.n gum hoke ek Gazal kahate
aur us Gazal ko na rusvaa kuu-ba-kuu karate
"Ye"
Re: Bait Bazi-II 2006
Re: Bait Bazi-II 2006
:(
Re: Bait Bazi-II 2006
hmmmm “YE” fase “ye” se shhoro ya “wp” se shoro::halo: i mean baitbazi k is khel main is face ka jawab i guess chiey ap ko lejeaiy:
![]()
Re: Bait Bazi-II 2006
yeh manzar mujhay nahi ab dekhna
nazaara mujhay ab judaa chahiye
zamaney nay di hain buhat tokhrein
sanbhalney ko ab asra chahiye
Ye''
Re: Bait Bazi-II 2006
*yaa rab! Gam-e-hijraa.N me.n itanaa to kiyaa hotaa
jo haath jigar pe hai vo dast-e-duaa hotaa
ik ishq kaa Gam aafat aur us pe ye dil aafat
yaa Gam na diyaa hotaa yaa dil na diyaa hotaa
*
"alif"
Re: Bait Bazi-II 2006
Aaa k lay jaiy meri ankh ka paani mujh se
kyun hasad kerti hai darya ki ravaani mujh se
"yay"
Re: Bait Bazi-II 2006
ye tasallii hai ki hai.n naashaad sab
mai.n akelaa hii nahii.n barabaad sab
[INDENT]sab kii Khatir hai yahaa.N sab ajanabii
aur kahane ko hai.n ghar aabaad sab
'bay'
iss ye ko khatam karoo yaar bohat ho gaie ye ye
[/INDENT]
Re: Bait Bazi-II 2006
Bazm-e-Khayaal mein ter'e husn ki shama jal gai
dard ka chaaNd bujh gaya, hijr ki raat Dhall gai
jab tujh'e yaad kar liya, subho mahak mahak uThi
jab tera Gham jaga liya, raat machal machal gai
YE