Bait Bazi (Girls Team) - Last Day

Re: Bait Bazi (Girls Team) - Last Day

yaro ye dour sanaf bisarat ka dour hai
andhi uthey tu us ghata ko keh liya karo

kaaf/wow

kyaa qayaamat hai ki ‘Khatir’ kushtaa-e-shab bhii the ham
sub_h jab huii to mujarim ham hii gardaane gaye
Gaaf/ye

Re: Bait Bazi (Girls Team) - Last Day

ye derya-e-muhabbat hai yahan ehley safeena ko
gham tuwaan nahi huta,tu gham sahil kya hu ga

gaaf/alif

ab bhii un yaadon ki Khushbuu zehan mein mehfuz hai
baarahaa ham jin se gulazaaron ko mahakaane gaye

Gaaf/ye

Re: Bait Bazi (Girls Team) - Last Day

ye roz-e-azal faisala hu chuk hai
musarat shreek muhabbat na hu gi

gaaf/ye

gul teraa rang churaa laaye hain gul_zaarun mein
jal rahaa hun bhari barasaat ki bauchhaaron mein

Meem/noon

Re: Bait Bazi (Girls Team) - Last Day

nigha uthi tu zamnane ke samne tera roup
palak jhuki tu mare dil ke roboru tera gham

ghein/meem

Gair kyaa jaaniye kyo.n mujhako buraa kahate hain
aap kahate hain jo aisaa to bajaa kahate hain

Hey/noon

Re: Bait Bazi (Girls Team) - Last Day

her dil mae hasratun ki meley lagey huye
her shaks app apni umeedun ki lash hai

hai/ye

ho jinhe.n shaq vo karen aur Khudaao.n kii talaash
ham to insaan ko duniyaa kaa Khudaa kahate hain

Hey/noon

Re: Bait Bazi (Girls Team) - Last Day

her waqt ka hansna tujhe berbaad na karey
tanhayi ke lamhun mae kabhi ro bhi liya ker :vivo:

kaaf/re

raatun mein gar na ashk bahaun to kyaa karun
ik pal bhii us ko bhuul na paun to kyaa karun

Kaaf/noon

Re: Bait Bazi (Girls Team) - Last Day

nat naye rang se kerta raha dil ko ba maaal
berbat jaan mae samaya huaa ik husnn malaal

meem/laam

main ne sunaa hai un ko andhere nahin pasand
raahon mein ab main dil na jalaun to kyaa karun

Kaaf/noon

Re: Bait Bazi (Girls Team) - Last Day

nahi ke arsa girdaab hi gimat tha
mager yaqeen tu dilaoo yehi kinarey hain

**hey/noon **

na kisii kii ankh kaa nuur hun na kisii ke dil kaa qaraar hun
jo kisii ke kaam na aa sake mai.n vo ek musht-e-Gubaar hun

Hey/noon

Re: Bait Bazi (Girls Team) - Last Day

hum ney tu is ke pyaar ko sajda kiya nadeem
ki zindagi mae aisi ibadat kabhi na thi

they/ye

ye kin nazaron se tum ne aaj dekhaa
ke teraa dekhanaa dekha naa jaaye

Jeem/ye

Re: Bait Bazi (Girls Team) - Last Day

ye haseen rut ye chandni ye bahaar
aisey alaam mae tu na ja , kuch soch :cb:

seen/chey

chashm-bar-raah-e-shauq ke maare*
chand ke intazaar mein taare*

Tey/ye