Bait Bazi (Girls Team) - Last Day

re: Bait Bazi (Girls Team) - Last Day

^ :rotfl:

nikala wo baar baar ghantaun ki onnt se

is se mamla tu faqat ek nazar ka tha

they/alif

thakan to agale safar ke liye bahaanaa thaa
use to yun bhi kisi aur simt jaanaa thaa

Alif

re: Bait Bazi (Girls Team) - Last Day

abb wo hasrat-e-ruwa ban ker ,juzu-e-hayaat hai bersun se
jis se wehshat krtey they ,hum abb wo khamein khayaal kahan

:kaaf/ noon

kantun ki chubhan pai phuulon kaa mazaa bhii
dil dard ke mausam mein royaa bhii hansa bhii

Bey/ye

re: Bait Bazi (Girls Team) - Last Day

ye bhi ek andaaz hai chupney ka
is qader yaas na aya kijiye

**kaaf/ye **

kab yaad mein teraa saath nahin kab haath mein teraa haath nahin*
sad shukr ke apanii raatun mein ab hijr kii koi raat nahin

Noon

re: Bait Bazi (Girls Team) - Last Day

nazar unki ,zuban unki ,ta’ajub hai us per bhi
nazer kuch or kehty hain zubaan kuch or kehty hai

:hmmm:

hey/ye

ham dostii ehasaan vafaa bhuul gaye hain
zindaa to hain jeene kii adaa bhuul gaye hain

Hey/noon

re: Bait Bazi (Girls Team) - Last Day

namodaan ki bhi door-e-subu mae thi kul raat
abhi jo doort-e-asmaan nahi guzrey

gaaf/ye

ghar chor ke bhii zindagii hairaaniyun mein hai
shaharoun kaa shor dasht kii viiraaniyon mein hai

Hey/ye

re: Bait Bazi (Girls Team) - Last Day

Hum hain sookhay huay talaab pay bethay huay hans,
Jo tallluq ko nibhatay huay mar jatay hain,

hey/noon

na jaao band kiye ankh raharavaan-e-adam*
idhar-udhar bhii Khabaradaar dekhate jaao

Jeem/wow

re: Bait Bazi (Girls Team) - Last Day

Waqt..sab kuch cheen leta hai,
khair, meri to sirf muskurahat thi..

thy/yeh

the kal jo apane ghar mein wo mehman kahan hain
jo kho gaye hain yaa rab wo ausaan kahan hain

Hey/noon

re: Bait Bazi (Girls Team) - Last Day

Nahi yeh zindagi ek do qadam ki,
Para hai raah mein sehra ka sehra..

Suad/alif

sadama to hai mujhe bhii ki tujhsee judaa hun main*
lekin ye sochataa hun ki ab teraa kyaa hun main

Meem/noon

re: Bait Bazi (Girls Team) - Last Day

Main teri bad-duaon se mar jaon,
yeh meri akhri khwahish hai,

hey/yeh

re: Bait Bazi (Girls Team) - Last Day

ye kis aavaaz kaa bosaa mere ho.nTho.n pe kaa.Npaa haimai.n pichhalii shab sadaao.n kii halaavat bhuul baiThaa huu.N

HY/YI :cheer:

re: Bait Bazi (Girls Team) - Last Day

Haaye zaalim ne zara sa bhi takaluf na kiya,
Hum ne chaahi jo ijaazat to ijaazat de di..

daal / yeh

re: Bait Bazi (Girls Team) - Last Day

***dil kab duniya se uchaat hota hai
udaasi dil mein kion ghar kar leti hai

hy/yi***