Bait Bazi - February 2014 (Parveen Shakir Ashaar only)

So this time, we are playing Biat-bazi of Parveen Shakir’s ashaar…

Bismillah karen:

Gawahi Kaisay Toot’ti, Muamla Khuda Ka Tha,
Mera Aur Uska Rabta To Haath Aur Dua Ka Tha

te/alif

Re: Bait Bazi - February 2014 (Parveen Shakir Ashaar only)

^:smack:

**abr barase to inaayat us kii
shaakh to sirf duaa karatii hai

hey/ye**

Re: Bait Bazi - February 2014 (Parveen Shakir Ashaar only)

y u limited this to one poet only.. :emmy:

Re: Bait Bazi - February 2014 (Parveen Shakir Ashaar only)

This time, we will change the poet every week

Re: Bait Bazi - February 2014 (Parveen Shakir Ashaar only)

ab to iss raah se wo shakhs guzarta bhi nahin
ab kis ummeed pe darwaze se jhaanke koi

kaaf/ye

Koi aahat koi aawaz koi chaap nahi hai
Dil ki galiyan bari sunsaan hain aaye koi

Kaaf/ye

Re: Bait Bazi - February 2014 (Parveen Shakir Ashaar only)

ku ba ku phel gai baat shanasai ki
usne khushboo ki tarah meri pazeerai ki

Kaaf/ye

Kaamp uthti hon main ye soch ke tanhai main
Mere chehre se tera naam na parh le koi

Kaaf/ye

Re: Bait Bazi - February 2014 (Parveen Shakir Ashaar only)

Kaasa -E- Deed Main Bas Aik Jhalak Ka Sikka ...
Hum Faqeeron Ki Qina'at Se Tujhe Daikhte Hain

He/ noon

Hatheliyon ki dua phool leke aayi ho
Kabhi yu rung mere haath ka hinaayi ho

Hay/wao

Re: Bait Bazi - February 2014 (Parveen Shakir Ashaar only)

wo kahin bhi gaya lota to mere paas aaya
bus yehi ik baat achi hai mere harjai ki

kaaf/ye

Kyon jaan pe ban aayi hai bigra hai agar wo
Uski tu ye aadat hai hawaon se laray wo

Wao/hay

Re: Bait Bazi - February 2014 (Parveen Shakir Ashaar only)

wo to khushboo hai hawaon main bikhar jae ga
masala phool ka hai, phool kidhar jae ga

gaaf/alif

Gaye baras ki eid ka din kya acha tha
Chaand ko dekh ke uska chehra dekha tha

Tay/alif

Re: Bait Bazi - February 2014 (Parveen Shakir Ashaar only)

iss shart pe kheloon gi pia pyar ki bazi
jeetoon to tumhe paon, haroon to piya teri

te/ye

Re: Bait Bazi - February 2014 (Parveen Shakir Ashaar only)

yeh kiya key woh jab chaahe mujhe cheen lai mujh sey
apney liye woh shakhs taRaptaa bhi tou dekhuN

daal/noon

Tu badalta hai tu bay saakhta meri aankhen
Mere haathon ki lakeeron se ulajh jaati hain

Hay/noon

Re: Bait Bazi - February 2014 (Parveen Shakir Ashaar only)

na janay konsa aaseb basta hai mere dil main
ke jo bhi thehra aakhir makaan chhoR gaya

gaaf/alif

Gulaab haath main ho aankh m sitaara ho
Koi wujood mohabbat ka ista'aara ho

Hay/wao

Re: Bait Bazi - February 2014 (Parveen Shakir Ashaar only)

Hawa ke hote huwe roshni to kar jae
meri tarah se koi zindagi to kar jae
wo dushmani ke bhi qabil mujhe na choRe ga
uss aadmi se ye dil dosti to kar jae

jeem/ye