Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

biimar tere jii se guzar jayeN to acha
jetey hain na martey hain ye mar jayeN to acha

alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

**aakhir to ek roz karegii nazar wafaa
wo yaar-e-Khush_Khasaal sar-e-baam hii to hai

hey/ye**

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

yoN to har lamha terii yaad ka bojhal guzra
dil ko mehsoos ho_ii terii kami shaam ke baad

bay/daal

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Dar O deewar pe hasrat si barasti hai ‘Qateel’

Jaane kis des gaye pyaar nibhaane wale

wao/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

wo kahaniyaN adhorii jo na ho sakeN gii poorii
unhein main bhii kiyon suna_oN unhein tum bhii kiyoN suna_on

seen/noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

na kane kon duaon main yad rakhta hai
main doobta hoon samandar uchaal deta hai

he.ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

hamko kiske Gham ne maaraa, ye kahaani phir sahii
kisne toRhaa dil hamaaraa, ye kahaanii phir sahii

seen/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Yaado’n ki aag thi k khayalo’n ki chaandni
Shab bhar mery makaan mein ik roshni rahi.

rey/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Yahaan Tak Barh Gaye Aalaam-e-Hasti
Ke Dil Ke Honslay Shal Ho Gaye Hain

hay/noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Har ek shab meri taazah azaab mein guzri,
Tumharay baad tumharay hee khwaab mein guzri

gaaf/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

yunhi to abr e rehmat ki talab karta nahi hon mai
zaroori hai muqaddar mai zara si pyaas hona bhi

bay/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Ye mojza teri angraai se hua afsha
Tery wujood ka har rung aasmani hai!

hey/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Hum wo hain jo har derd chupa letay hain dil main
Hum say kabhi zakhmon ki numaiish nahi hogi

hay/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Ye kon bataye, adum-aabad hai kia!
Tooti hui qabro’n se sadaa tak nahi aati.

alif/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

ye khoon ki mehk hy ky lab-e-yar ki khushbo
kis rah ki janib sy xabba aati hy deikho

daal/wao

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Woh be’qasoor hai, aesi bhi koi baat nahin,
Qasoor’waar hain hum, yeh bhi keh nahin saktey..

seen/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Yeh roshni bhi ata haii tairi mohabbat kii...
jo mairi rooh ke manzarr mujhe dikhati hai

hay/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Yeh roz-o-shab hain hamarey ke aik dusrey se,
Chupaye phirtey hain ehwaal, keh nahin saktey,

seen/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

suno ikk kaan se aur doosre se phaink do baahar
boht nuqsan de hai saheb e ahsas hona bhi

bay/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Yeh kya bahaar ke ginti ke chand phool hansain,
Bahaar woh hai jo sarey chaman ke kaam aye..

alif/ye