Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

ye kis kaa saamna karne se haraf larzaaN haiN?
sukhan_shanaasoN meN ye kaun ba_kamaal aaya?

alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Ae mohabbat tere anjam pey rona aaya
Jaane kyun aaj tereay naam pey rona aaya

Alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

ayna ye to batata hy ky mein kya hoon lekin
ayna is py hy Khamosh ky kya hy mujh mein

meem/noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

NaQsh E paa se tere mil jaaye suraaGh E manzil

Tu jo guzre to chamak raah guzar meN aaye

alif/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

apne chehare se jo zaahir hai chhupaayeN kaise?
terii marzii ke mutaabik nazar aayeN kaise?

kaaf/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

***Yaar bad-ahd ka kitna baRa ehsaaN hai K hum
Ab kisi ke liye barbaad nahiN hone ke

kaf/ye


re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Karta to hy wo yaad mujhe Chahat Se mgr,
Hota hay yeh Kamaal bari Muddaton k baad..!!

bay/daal

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Dhoop Ka Roop Rachaanay Waalay
Shaam Ko Aur Nikhar Jaatay Hain

Hay/Noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

hum apne ishq ki ab aur kya shahadat deN
hameN hamaare raqeeboN ne mo'tabar jana

jeem/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

**apane Khuu-e-vafaa se Darataa huun
aashiqii ba.ndagii na ho jaaye

jeem/ye**

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

jii bhar gayaa duniya se, ab dil meN ye hasrat hai
maiN hooN, yaa tira jalvah aur gosha-e-tanhaa_ii

tay/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Tu ne hum se kalaam bhi chhoRa, arz E wafaa k sunte hi**
Pahle kaun Qareeb tha hum se, ab to aur ba’eed hua

he/alif
**

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

ishq-o-muhabbat kya hote haiN, kya samjhaaooN vaaiz ko?
bhaiNs ke aage biin bajaana, mere bas kii baat nahiiN

noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Nahi mayoos Iqbal apni kasht-e-weeran se,
Zara nam ho to ye matti boht zarkhaiz hai

he/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Ye weham nahi to kya hai, ye gumaaN nahi to kya hai
ye jo dil se utth raha hai, ye dhuwaaN nahi to kya hai

hay/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Ye Ronaqaein Ye Loog Ye Ghar chor Jaon Ga
Ik din Mein roshni ka Nagar chor jaon Ga

Gaaf/Alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

uskaa zarf to dekh ke teri zindagi ke liye
wo apni maut se kuch saanse udhaar leta hai

hay/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Har ek kashti ka apna tajruba hota hai duniya meN

Safar me roz hi manjdhaar ho aisa nahi hota

he/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

aankhon ke ashk dil me utaar letaa hai
kisi ki khatir apni har khushi ko maar leta hai

hay/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

**yuun to kuchh shaam se pahale bhii udaasii thii 'Adeeb'
ab to kuchh aur barii dil kii lagii shaam ke baad

bey/daal**