Bait Bazi - August

Re: Bait Bazi - August

*na tum aaye na chain aayaa na maut aaii shab-e-vaadaa *
**dil-e-muztar thaa main thaa aur thii betaabiyaan merii

meem/ye**

Re: Bait Bazi - August

Maloom hota hai bhool gaye ho shayed,
Sabar to kisi me is qadar nahin hota..

hey/alif

Re: Bait Bazi - August

*aap to but ban ke kii jalvaa garii *
**aur hamen kaafir banaayaa yaar ne

noon/ye**

Re: Bait Bazi - August

Na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hota,
Diboyaa mujhe ko hone ne, na hota mein to kya hota..

hey/alif

Re: Bait Bazi - August

aseer-e-gham to jaan dy kar rahaai paa gia lekin
kisi ko kia khabar zindaan ki deewaaroon par kia guzrii

gaaf/yey

Re: Bait Bazi - August

Gila banta hi nahi un se berukhi ka,
Dil hi to tha, bhar geyaa ho ga..

gaaf/alif

Re: Bait Bazi - August

*aankh ko jaam samajh baithaa thaa anjaane mein *
**saaqiyaa hosh kahaan thaa tere diivaane mein

meem/noon**

Re: Bait Bazi - August

Neend tarsy ge tere aankhon ko
jab bhe khawabo se doste hoge

hay/yay

Re: Bait Bazi - August

Haan theek hai main apni ana’aa ka mareez hoon,
Aakhir mere mizaaj mein kyun dakhhal de koi..

kaaf/ye

Re: Bait Bazi - August

*ye kis ne kahaa hai merii taqadeer banaa de *
**aa apane hii haathon se mitaane ke liye aa

Alif**

Re: Bait Bazi - August

Awaaz mein thehrao tha, ankhon mein nami si thi,
Aur keh raha tha mene sab kuch bhulaa diyaa..

daal/alif

Re: Bait Bazi - August

apane diivaan ko galiyon mein liye phirataa huun
**hai koii jo hunar-e-zakhm numaaii ley ley

laam/ye**

Re: Bait Bazi - August

yaad karta hooN to rota hay koi seenay maiN
dil dharkta hay to Matam key sada aati hay

hay/yey

Re: Bait Bazi - August

hum ro dete hain chhoti sey chhoti baaton pey
**tum rooth jaogey toh humara kya hoga kabhi socha hai

hey/ye**

Re: Bait Bazi - August

yi kia k vo jab chay mujy chen le mujhse
apny liay vo shakhs tarapta bhi dekhon

daal/noon

Re: Bait Bazi - August

na jaane kon sa aaseib dil mein basta hai
k jo bhi thehra woh aakhir makan chor gya

gaaf/yey

Re: Bait Bazi - August

last word is** gya**
it shud be gaaf/alif

**Aa ke tu jhanjhorr mujh ko, Ishq ka izhar kar,
Mudatton se so raha hoon, Neend se baidaar kar.. *
*

kaaf/re

Re: Bait Bazi - August

http://3.bp.blogspot.com/-1OWWfbLeOtQ/Ut5U7A24ftI/AAAAAAAALnc/iYgJB_g3nvQ/s1600/Shayari-Images-Kon-Kharedy-Gaa-Abb-Heron-Ke-Daam-Me-Tery-Aansu-Woh-Jo-Dard-Ka-Tajir-Tha-Usny-MUHABBAT-Hi-Choor-Di-Poetrysync-Blog.jpg

Alif/Vao

Re: Bait Bazi - August

kya ho gya hai sab ko

it is daal/ye(kyon k akhri lafz hai di)

Re: Bait Bazi - August

Dil ke sehraa main kab aalam-e-tanhai hai,
Jab bhi dekha teri tasveer nazar ayi hai..

he/ye