Hay or Noon
Re: Bait Bazi - August
Hasne Walo Ko Rulaya Nahi Jata,
Lehro Ko Pani Se Hataya Nahi Jata,
Honewale Khud Hi Apne Ho Jate Hai
Kisiko Kehkar Apna Banaya Nahi jata
"Alif"
Re: Bait Bazi - August
**Jiger ho jaye ga chalni ye aankhaiN khoon royaiN gi
Wasi be-faiz logoN se nibah ker kuch naheeN milta
** Meem aur Alif
Re: Bait Bazi - August
ab do aalam se sadaa-e-saaz aatii hai mujhe
dil kii aahaT se terii aavaaz aatii hai mujhe
meem/yay
Re: Bait Bazi - August
moHabbat apnii laayii ik 'uroos-e-naazniiN ban kar
na shakwa shaam-e-hijraaN kaa, na saath apne 'adoo laayii**
a she'r by my: DAD!
*LAAM/YE* se**
Re: Bait Bazi - August
**
Le chalaa jaan merii rootth ke jaanaa tera
aesy aane se to behtar thaa na aanaa tera**
Tey aur Alif
Re: Bait Bazi - August
**ab soch ki banjar dharti par
bas ugta hai azaar sakhi..
maiN sadyaaN oRh k so jaoN
gar neend milay ik baar sakhi..
''seen' ye'**
Re: Bait Bazi - August
SUNA HEY LOG OSE ANKH BHAR KEY DEKHTE HEN
SO OS K SHEHR MI KUCH DIN THEHER K DEKHTE HEN:meeno:
hey/noon
Re: Bait Bazi - August
Hum na samjhey thay baat itnii sii
Khwab sheeshe k, dunia patthar ki
kaaf.......yey
Re: Bait Bazi - August
**yun phir raha hy kaanch ka paiker liye howy
gafil ko ye guman hy k pathar na aye ga
gaaf / alif**
Re: Bait Bazi - August
GUZRA HUN JIS TARAF SE BHI PATHAR LAGE MUJY:@:
ASEY BHI KIA THEY LAAL-0-JAWAHAR LAGE MUJY:faizy:
meem/yey
Re: Bait Bazi - August
**mohabbat haar k jina bohat dushwaar hotaa hai
ussay bas itna keh daina bharam toRa nahiN kartay
'kaaf' ye'
**
Re: Bait Bazi - August
Ye wafa ki sakht rahein, ye tumhary pao'n nazuk
Na lo intiqaam mujh se, mere sath sath chal key
kaaf.........yey
Re: Bait Bazi - August
***ya rab gham e hijraan main itna tu kiya hota,
ju haath jiger par hay woh dast e duaa hota,
Re: Bait Bazi - August
AJ PHIR TOTEN GI TERE GHAR KI NAZUK KHIRKIANbad boy
AJ PHIR DEKHA GAYA DEWANA TERE SHAHER MI:barbie:
MEEM/YEY
Re: Bait Bazi - August
*ye sukuut-e-yaas ye dil kii ragon kaa tuutanaa
Khaamoshii mein kuchh shikast-e-saaz kii baaten karo*
kaaf/wao
Re: Bait Bazi - August
***Kaash Wo eik Mouka Detay Baat Karnay Ka Mohsin
Hum Unko Bhi Rula Detay Un Kay Sitam Suna Kay…!!! ***
Re: Bait Bazi - August
kahin hum ko juda na ker de ik farq ye zara sa
tum faslon k qail main qurbaton ka pyasa...
pay/alif
Re: Bait Bazi - August
Aaj to besabab udaas hai ji
Ishq hota to koi baat bhi thi
Re: Bait Bazi - August
***Tery payar main rusva ho kar jayen kahan dewaney log ?
Jaaney kya kya pooch rahey hain ye jaaney pehchaney log
Jesy Tumhen Hum ne Chaha he, Kon bhala yun chahega?
Maana Aur bht aayenge Tumsey Pyar jataney log.........!***