Bait Bazi - August 2013

Re: Bait Bazi - August 2013

No problem. Lets continue:

Hum ko pala tha jis peR ne uske pae hi dushman huwe
keh rahi hain kai daliyan aashyana badal leejiye

Laam / ye

Re: Bait Bazi - August 2013

le chalaa jaan merii ruuTh ke jaanaa teraa
aise aane se to behatar thaa na aanaa teraa

Re: Bait Bazi - August 2013

***Us ke baghair aaj bohat jee udaas hai,
Jaalib chalo kahin se usey dhoond ke layen hum


hey/meem

Re: Bait Bazi - August 2013

muntazir sab meray zawal kay hain
meray ehbaab bhi kamal kay hain

Re: Bait Bazi - August 2013

نُورِ خُدا ھے کُفر کی حرکت پہ خندہ زن
پُھونکوں سے یہ چراغ بُجھایا نہ جائے گا

Re: Bait Bazi - August 2013

Agar tum rootho to ik tum ko manaaney ke liye,
Geet gaa sakta hoon mein aansu baha sakta hoon mein

meem/noon

Re: Bait Bazi - August 2013

na chhaiR malangaN nooN
kuttay pain gay TangaN nooN

noon/noon

Re: Bait Bazi - August 2013

itna standard se gira hoa

Re: Bait Bazi - August 2013

Na woh inkaar karta hai na woh iqraar karta hai,
Humain phir bhi gumaan hai woh humse pyar karta hai..

hey/yeh

Re: Bait Bazi - August 2013

yoonhe mausam ki ada daikh ker yad aya

kis qadar jald badal jatay hain insaaN Jaanaan

Re: Bait Bazi - August 2013

jantay bhi ho k ik hi diya hay meray ghar main
phir bhi hawa detay ho, kamal kartay ho

Re: Bait Bazi - August 2013

Honthon Pe Aaj Unka Naam Aa Gaya..
Pyase Ke Hath Mein Aaj Jaam Aa Gaya..
Dole Kadam To Gire Unki Bahon Main Ja Ke..
Aaj To Peena Bhi Hamare Kaam Aa Gay

Re: Bait Bazi - August 2013

acha hay dil kay sath rahay paasbaan-e-aql
lekin kabhi kabhi isay tanha bhi chhoR day

Re: Bait Bazi - August 2013

**dard apanaataa hai paraa_e kaun
kaun sunataa hai aur sunaa_e kaun

Kaaf/noon**

Re: Bait Bazi - August 2013

na janey ho gaya hoon is qadar hasas main kab se
kisi se baat karta hoon tu ankhein bheg jati hain

Re: Bait Bazi - August 2013

na sataish ki tamanna, na silay ki parwah
na sahi gar meray ash-aar main ma'ani na sahi

Re: Bait Bazi - August 2013

yeh us ka tarz-e takhatub bhi khoob hai mohsin
ruka ruka sa tabassum khafa khafa si aankhen