Bait Bazi----August 2007

Re: Bait Bazi----August 2007

Ye Bhi Shayad Zindagi Ki Ek Ada Hai Doston
Jis Ko Sathi Mil Gaya Wo Aur Tanha Ho Gaya

'Alif'

Re: Bait Bazi----August 2007

Uljhain gey kaii baar abhii lafz sey mafhoom
sada hai buhat wo na main asan buhat hon

Noon

Re: Bait Bazi----August 2007

Na socha na samjha na seekha na jana
Mujhe aa gaya Khud ba Khud dil Lagana
Zara dekh kar apna jalwa Dikhana
Simat kar yahin aa na jaye zamana

Re: Bait Bazi----August 2007

Itna to zarf rakhte hain duniya waalay..
zindagi chin kar jeene ki dua dayte hain

Noon

Re: Bait Bazi----August 2007

Nahi Nahi Ye Khabar Dushmanon Ne Di Hogi
Wo Aye, Aa Ke CHalay Bhi Gaye, Milay Bhi Nahin

'Noon'

Re: Bait Bazi----August 2007

Na gila kiya na khafa huvay, yunhi raaste mein juda huvay
na tu bewafa na main bewafa, jo guzar gaya so guzar gaya
ye safar bhi kitna taweel hai, yahan waqt kitna qaleel hai...
kia laut kar koii aaye ga, jo guzarr gaya so guzarr gaya...

Alif

Re: Bait Bazi----August 2007

Aik Lamhay Main Simat Aaya Hai Sadyon Ka Safar
Zindagi Taiz Buhat Taiz Chali Ho Jesay

'Ye'

Re: Bait Bazi----August 2007

Ye saari umr kis aa'shuftagi mein rayega'n kar di
uss ko yaad rakha hai jisse dil se bulanaa tha...

Alif

Re: Bait Bazi----August 2007

Ek Ajab Shor Sa Bapaa Hai Kaheen
Koi Khamosh Ho Gaya Hai Kaheen

'Noon'

Re: Bait Bazi----August 2007

Naa lagii ho jiss ko woh dard kissi ka kia jaanein.....
khud shama ko malom nahi kyun jal jate hain parwane

Yeh

Re: Bait Bazi----August 2007

Yaad Ke Be-Nishaan Jazeeron Se
Teri Aawaz Aarahi Hai Abhi

'Ye'

PS: Allah hafiz..

Re: Bait Bazi----August 2007

^ Allah Hafiz..

Ye charagh be-nazar hai ye sitara be-zaban hai
abhi tujh sey milta julta koi dosra kahan haii...
inhi raston ne jin per kabhi tum thay sath maire
mujhe rok rok pocha taira humsafar kahaan hai

Yeh

Re: Bait Bazi----August 2007

Yaad naheen kiya kiya daykha tha saray manzar bhool ga'ey
Us ki galiyoon say jab lauttay apnaa bhi ghar bhool ga'ey

Tujh ko bhi jab apni qasmain apnay vaaday yaad naheen
Ham bhi apnay Khvaab tayri aankhoon main rakh kar bhool ga'ey

yay

Re: Bait Bazi----August 2007

yon to likhnay k lye kia nahi likha menay
phir bhi jitna tujhay chah, nahi likha me nay
meray lafz lafz mehai ekehad ka junon
yeh koi khel tamasha nahi likha menay

"yay"

Re: Bait Bazi----August 2007

Ye He Taskeen Ki Surat Hai Tou Phir
Chaar Din Gham Ko Bhi Apnaa Dekho

'Wow'

Re: Bait Bazi----August 2007

Wo jis k dam qadam se thin basti ki ronaqain
bassti ujarr gayii tou akaila buhat laga...

Alif

Re: Bait Bazi----August 2007

Ab Sach Kahain To Yaaro Hum Ko Khabar Nahi Thee
Ban Jaye Ga Qayamat Ek Waqia Zara Sa

'Alif'

Re: Bait Bazi----August 2007

Ulti ho gayein sub tadbeerein kuch na dawa ne kam kya
Dekha is bemari-e-Dil nay aakhir kam tamam kya

Re: Bait Bazi----August 2007

Aa He Basay Hain Aap Meri Rooh Main Ager
Mujhko Meray Wujuud Se Bahar Na Phenkeay

'Ye'

Re: Bait Bazi----August 2007

Ye log tazkare kartay hain apne logon ke
main kaise kahon, ab kahan se laun usse

Yeh