Bait Bazi - April 2012

Re: Bait Bazi - April 2012

Ye Aur Baat Hai Ki Tu Ho Chuki Hai Gair
**Par Ab Bhi Teri Yaadon Se Roshan Hai Raatein Meri

meem/ye**

Re: Bait Bazi - April 2012

Mitt Jaye Gunahon Ka Tasawwur Hi Jaahan Se...

Agar Ho Ye Yaqeen K KHUDA Deikh Raha Hai...!!!

Re: Bait Bazi - April 2012

You mean choti hey se ‘Hathi’ per Badi hey wala ‘Habshi’ sawar hai :confused:

Aap Tuway se shair sochen… jab tak hum iss silsile ko aage badhate hain.

Hamesha ke liye mujh se bichad ja
Ye manzar barha dekha na jae

Jeem /Alif

Re: Bait Bazi - April 2012

Aap Toe kee baat ker rahey hain. :konfused:

Jal Uthi Hai Shama Roshni Se Uski
Khatm Hui Hai Tanhaai Mehfil Me Uski
**Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski

alif/ye**

Re: Bait Bazi - April 2012

Usko ihraam e misr dikhao
jo bhi khud ko khuda samajhta hai

Hey / Ye

Re: Bait Bazi - April 2012

Haraa Hai Abhi Zakhm-E-Taalluq Dil Ka
**Gire Jo Sailaab-E-Lahoo-E-Ashq Daman Pe Mera

meem/alif**

Re: Bait Bazi - April 2012

Main to manzil samajhta hoon us ko
Wo mujhe raasta samajhta hai :mad2:

Hey/ Alif

Re: Bait Bazi - April 2012

ye kahan ki dosti hai ke banay hain dost naaseh
koi chaara saaz hota koi ghum gusaar hota

Re: Bait Bazi - April 2012

Ek bewafa pe lafz sabhi aazmae hain
Dunia samjhte hain, mujhe rub ne hunar dia

Palaa kisi sakhi se pada aur usne qais
Dozakh misaal dhoop main, gham ka shajar dia

Daal / Alif

Re: Bait Bazi - April 2012

uss ne hansi hansi main muhabbat ki baat ki
mainay adeem usko mukarne nahi dia :D

Re: Bait Bazi - April 2012

Dil to chaha per shikaste dil ne hi muhlat na di
kuch gile shikwe bhi ker lete manajaton ke baad!!

Bey / Daal

Re: Bait Bazi - April 2012

Dil K Lutney Ka Sabab Poch Rahey Ho Mujh Say:bummer:
Is Qissay May Kia Rakha Hai, Ye Kahani Phir Sahi :hinna:

Re: Bait Bazi - April 2012

sitamger ko koi charaa bhi or nahi hota
uski adat ha wo sitam na kare to kiya kare

Re: Bait Bazi - April 2012

Kiya haaq wo jeena hai jo apnay hi liyay ho
Khud mit kar kisi aur ko mitnay se bacha lay

Re: Bait Bazi - April 2012

Log Kehte Hain Majnoo Tha Deewana Aur Laila Deewani Hai
**Puchta Hu Khuda Se Kyon Ishq Banaya, Kya Aashiqo Se Koi Dushmani Purani Hai

hey/ye**

Re: Bait Bazi - April 2012

Laila :@:

yeh noor ke sholay uthtay hain, mera hee dil garmanay ko
jo bijli ufak main chamki hai, chamki hai mere taRpanay ko

Re: Bait Bazi - April 2012

KahaN tak roktay aankhoN main abr o baad e hijraaN ko
Ab aaye ho k jab ye shehr zair e aab aaya hai

Re: Bait Bazi - April 2012

Hamare chale jane ke baad ye samandar ke rait bhi tum se poocha kare gi
Kahan chala gaya wo shakhs jo tanhai main aakar bus tumhara naam likha karta tha

Re: Bait Bazi - April 2012

Aa'inaay ki AaNkh hi kuch kam na thi maeray liyay
jaanay ab kyaa kyaa dikhaa'ay gaa tumhaaraa daekhnaa

Re: Bait Bazi - April 2012

Agar Koi Aapki Zindagi Main Khaas Nahi Hai,
**To Usse Reh-Reh Kar Ye Ehsaas Dilaya Nahi Karte

kaaf/ye**