Bait Bazi - April 2012

Re: Bait Bazi - April 2012

**AZIATON K TAMAAM NASHTAR,MERI RAGON MAIN UTAAR KAR WOH,,,

BARI MUHABBAT SAY PUCHTA HAI,TUMHARI AANKHON KO KYA HUA

Hy/Alif
**

Re: Bait Bazi - April 2012

In-hi patharoon pey chal key agar aa sako tu aao
*Merey ghar key rastey main koi kehkashan nahi hay *

Re: Bait Bazi - April 2012

**Yun Wafa K Silsilay Musalsal Na Rakh Kisi Say….! "Mohsin"
Log ik Khata K Badly, Saari Wafaayn Bhool Jaty Hyn.!!

**

Re: Bait Bazi - April 2012

Naazneen nay naazneen ko, jub dikhaya apna naaz,
Naznen bhi naazneen,*kay naaz say naazan hui
:@:
*

Re: Bait Bazi - April 2012

Hanste Hain Yun Hans Kar Rula Jate Hein Log
Milte Hain Yunhi Mil Kar Juda Ho Jate Hein Log

Re: Bait Bazi - April 2012

Ganj bakhs faiz-e-aalam, mazhar-e-noor-e-Khuda
Na qasa'raan peer kaamil, kaamilaan Raan Raahnuma

Re: Bait Bazi - April 2012

Ab Kis Say Shikwa Karen Apni Mohabbat Ka Aye “Hasan”
**Kar K Wafa Ka Vaada Bewafa Ho Jate Hain Log

laam/gaaf**

Re: Bait Bazi - April 2012

Gulo'n main rung bharay baad-e-nau'bahaar chalay
chalay bhi ao ke gulshan ka karobaar chalay

Re: Bait Bazi - April 2012

Yun To Hum Kabhi Kisi Se Kabhi Wada Nahin Kiya Karte
**Par Aapse Kiye Huye Har Ek Waade Ko Kabhi Na Todenge

tey/ye**

Re: Bait Bazi - April 2012

Ye gham nahi k ujaalon ne saath chhor dia
tera khayal mujhe roshni dikhaata hai

Re: Bait Bazi - April 2012

**Yun to kaya chez zindagi mein nahi
jese soche the apney jee mein nahi
ik sahks hai zindagi jesa
or woh shaks mere zindagi mein nahi

noon/ye **

Re: Bait Bazi - April 2012

Ye aur baat ke tum se gila nahi kertay
malaal q nahi hota malaal hota hai

Re: Bait Bazi - April 2012

**Ye kisnay aatish-e-ehsaas ko hawa di hai,
Kay mairy rooh mein ek aag si laga di hai,

Nadaamate.n meray maazi say poochhti hyn sawaal
Wo maah-o-saal ki daulat kahaa.n luta di hai

**

Re: Bait Bazi - April 2012

**Hath Uljhe Howay Resham Main Phansa Baithe Hain
Ab Bata Kaun Se Dhaage Ko Juda Kis Se Karain

***Tu Nay To Apni SI Karni Thi So Kar Li Khawar
Masla Yeh Hay K Hum Is Ka Gilla Kis Se Karain *

Re: Bait Bazi - April 2012

*Meri dastan may jan-e-jaan tumhe har su
sitam raqsan ja-ba-ja nazr aye ga...
*

Re: Bait Bazi - April 2012

is gali main phir ana ho ke nahin
jatay jatay bas aik sada ho jaye

Re: Bait Bazi - April 2012

:lajawab:

Re: Bait Bazi - April 2012

**yahi taare tumhaari aankh ki chilman meiN rehte the
yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle

hui hai shaam jungle main parinde laut.te honge
ab in ko kis tarah rokaiN nawaah-e-daam se pahle**

Re: Bait Bazi - April 2012

**Phir kabhi Samne Aa kar Zara ye Baat Bata?
Ab kahan hogi Mere dost Mulaqat Bata?

Tu to Aalim hy Samjhta hy Kitabon ki Zuban,
Mera Chehra b kabi Parh Mere Haalat Bata?

Bas ho jaey Muje Meri Mohabbat Hasil,
Tu koi Aisi Dua aisi Manajat Bataa
**

Re: Bait Bazi - April 2012

*awal awal kee mohabat kay nashay yaad to karr *
*bay peeiay bhee tayra thaa gulistaaan jaanaan *