Bait Bazi - April 2012

Re: Bait Bazi - April 2012

Aaj Phir Dil Ne Ik Tamanna Ki,
Aj Phir Dil Ko Hm Ne Smjhaya. . .:hinna:

Re: Bait Bazi - April 2012

***ek harf tasali ka, ek lafz mohabbat ka *
*khud apnay liye us ne likha to bohat roya *
*pehle bhi shikastoon pe khai thi shikast us ne *
**laikin wo tere hathoon haara to bohat roya

rey/alif ****

Re: Bait Bazi - April 2012

acha hai dil ke paas rahay paasbaan e aqal
lekin kabhi kabhaar issay tanha bhi chhor day

Re: Bait Bazi - April 2012

**Yeh Faasley, Yeh Sarhaden
Ik Pal Mein Mitaane Ki Khwahishen
Rah-Rah Ke Shor Machaati Hain
Jab Tera Khayaal Ata Hai

hey/ye**

Re: Bait Bazi - April 2012

her waqt ka hansna tujhay barbaad na kar day
tanhai kay lamhon main kabhii ro bhi lia karr

Re: Bait Bazi - April 2012

Kuch Nahi Baaki Bacha Hai Tere Jaane Ke Baad,
Tadap Uth-ta Hai Mera Dil Aaye Jo Teri Yaad...

Re: Bait Bazi - April 2012

Dunya main ehtiraam ke qaabil hain jitne log
main sab ko maanta hoon magar Mustafa (S.A.W.W.) ke baad

Re: Bait Bazi - April 2012

****Bhookey Bachon Ko Sulaney Ke Liye Ghurbat Main*
**Badshaahon Ka Koi Qissa Suna Daitey Hain ....!!

:(


Re: Bait Bazi - April 2012

Naa rahay goray sikandar naa rahey qabro dara
mitay namiyon ke nishaan kaisay kaisay :naak:

Zindagi yun hi khtam ho jaati hai :naak: