Ye Dour Apne Baraheem Ki Talash Mein Hai
Sanam Kudah Hai Jahan, La Ilaha Illallah
Alif/ he
Ye Dour Apne Baraheem Ki Talash Mein Hai
Sanam Kudah Hai Jahan, La Ilaha Illallah
Alif/ he
Re: Bait Bazi - Allama Iqbal Ashaar only
aaj jo bhi ho jo Ibrahim :Allaih: ka emaan paida
Aag kar sakti hay Andaz-e-gulistan paida
Alif
Re: Bait Bazi - Allama Iqbal Ashaar only
Utho! Meri Dunya Ke Ghareebo Ko Jaga Do
Kakh-e-Umra Ke Dar-o-Diwar Hila Do
Daal/wao
Re: Bait Bazi - Allama Iqbal Ashaar only
Woh Harf-e-Raaz Key Mujh Kou Sikhaa Gayaa Hai Junoon
Khudaa Mujhey Nafs-e-Jibraeel Dey Tou Kahoon
kaaf/noon
Re: Bait Bazi - Allama Iqbal Ashaar only
Kyun Khaliq-o-Makhlooq Mein Hayal Rahain Parde
Peeran-e-Kalisa Ko Kalisa Se Utha Do
Daal/wao
Re: Bait Bazi - Allama Iqbal Ashaar only
voh pyaarii pyaarii surat, vo kaamiinii sii muurat **
aabaad jis ke dam se thaa meraa aashiyaanaa
Alif **
Re: Bait Bazi - Allama Iqbal Ashaar only
Ashkara Hai Ye Apni Quwwat-E-Taskheer Se
Gharche Ek Mitti Ke Paikar Mein Nihan Hai Zindagi
Ze/ ye
Re: Bait Bazi - Allama Iqbal Ashaar only
**ye jannat mubaarak rahe zaahidon ko
ki main aap kaa saamanaa chaahataa huun
hey/noon **
Re: Bait Bazi - Allama Iqbal Ashaar only
Nahin hai na-umeed iqbal apni kasht-e-weeran sey
zara numm hou tou yeh matti bari zarkhaiz hai saaqi
seen/ye
Re: Bait Bazi - Allama Iqbal Ashaar only
Sina Roshan Ho Tou Hai Souz-e-Sukhan Ayn-e-Hayat
Ho Na Roshan, Tou Sukhan Marg-e-Dawam Ae Saqi
seen/ye
Re: Bait Bazi - Allama Iqbal Ashaar only
Yeh Faizaan-e-Nazar Thaa Yaa Ke Maktab Ki Karaamat Thi
Sikhaaye Kis Ney Ismaeel (A.S.) Kou Aadaab-e-Farzandi
fey/ye
Re: Bait Bazi - Allama Iqbal Ashaar only
Faqat Nigah se hota hai Faisla dil ka
Na ho Nigah mein shokhi, to dilbari kya hai
he/ye
Re: Bait Bazi - Allama Iqbal Ashaar only
Ae Teri Chashme-E-Jahan Been Par Woh Toofan Ashkar
Jin Ke Hangame Abhi Darya Mein Sote Hain Khamosh
Khe/sheen
Re: Bait Bazi - Allama Iqbal Ashaar only
In Taza Khudaon Mein Bara Sub Se Watan Hai
Jo Pairhan Iss Ka Hai, Woh Mazhab Ka Kafan Hai
he/ye
Re: Bait Bazi - Allama Iqbal Ashaar only
Aqwam-e-Jahan Mein Hai Raqabat To Issi Se
Taskheer Hai Maqsood-e-Tajarat To Issi Se
seen/ye
Re: Bait Bazi - Allama Iqbal Ashaar only
Paani Paani Kar Gayi Mujh Ko Qalandar Ki Yeh Baat
Tu Jhukaa Jab Ghair Ke Aagay, Naa Mann Teraa Naa Tann
tey/noon