Re: Bait Bazi — I-2006
Parde parde mein ataab achche nahi
aise andaaz-e-hijaab achche nahi
ik najuumi "Daag" se kehta tha aaj
aap ke din ay janaab achche nahi
Daag Dehlvi
Re: Bait Bazi — I-2006
Parde parde mein ataab achche nahi
aise andaaz-e-hijaab achche nahi
ik najuumi "Daag" se kehta tha aaj
aap ke din ay janaab achche nahi
Daag Dehlvi
Re: Bait Bazi — I-2006
phir wohi shaam hay, wohi hum hay, haan magar dil mein hoosla hi nahi
hum chalay uski bazm say uth kar, aur woh hay k rookta hi nahi...
Re: Bait Bazi — I-2006
ye jo zindagi ki kitaab hai ye kitaab bhi kya kitaab hai
kahin ik haseen sa Khwab hai kahin jaan-leva azaab hai
kahin chaon hai kahin dhoop hai kahin aur hi koi roop hai
kai chehre iss mein chuppe hue ik ajeeb si ye naqaab hai
ye
Re: Bait Bazi — I-2006
Ya masihayi usey bhol gayi hai "Muhsin"
Ya phir aisa hai mera zakhm hi gehra hoga
Re: Bait Bazi — I-2006
usay kaho k bohat na muraad shay hi junoon
usay kaho k bohat hi mujhe junoon uska
Re: Bait Bazi — I-2006
AainoN mein aks na hon tou hairat rehti hay
jaesey khali aankhon mein bhi wehshat rehti hay
Re: Bait Bazi — I-2006
yeh mera zarf meri wazadari
k lakhon dushmano say dosti hai
Re: Bait Bazi — I-2006
YE MUQADAR KA LIKHA HI KOI TAKRAAR NAHI
MERI KISMAT MAIN KAHIN SAAYA-E-DEEWAR NAHI
Re: Bait Bazi — I-2006
*yak nazar besh nahin fursat-e-hasti Gaafil
garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak *
"kaaf"
Re: Bait Bazi — I-2006
kon kehta hai mohabat ki zabaan hoti hai
ye haqeeqat tu nigahon se bayan hoti hai
wo na aaye tu sataati hai qalish see dil ko
wo jo aaye qalish aur jawan hoti hai
Sahir hoshyarpuri
Tamnaa
Tamnna ne jindagi ke aanchal me sir rakh kar kaha " k main kab puri houngi" iss par jindagi ne hass kar kaha jo puri ho jaye wo TAMNNA hi kya...
Re: Bait Bazi — I-2006
Aahat thi kisi khuaab ki ya dhoka tha nazar ka
ik pal ko sakoot toot geyaa dil kii qabar ka
aankhon ka sehan bheeg geya yaadon ki nami sey
kuch bhii tou silaa nahi milaa ashkon pe jabar ka
Re: Bait Bazi — I-2006
**
udaasiyoN ke gard meiN liptey huwey heiN log
wo maahol badal ke chala gaya saarey shehar ka
beittheiN heiN is aas pe bhar jaey ga kabhi zakhm
ik waqt hi shaaed taryaaq hey yaadoN ke zehar ka
**
hum dosti mein had se
Hum dosti me had e guzar jayenge,Yeh zindgi apke naam kar jayenge,Aap roya karenge hume yaad karke,Apke daaman me itna pyar chhod jayenge..
Re: Bait Bazi — I-2006
yeh kia sitam zarifiye Qismat hai aj kal
begangi sharike muhabbat hai aj kal
Re: Bait Bazi — I-2006
**lagtaa nahin hai ji mera ujrre dayaar mein
kis ki bani hai aalam-e-napaiyedaar mein
keh do in hassraton se kahin aur ja basen
itni jagah kahan hai dil-e-daagdar mein**
noon
Re: Bait Bazi — I-2006
noon
Nice collection... Thanks for sharing...:)
Re: Bait Bazi — I-2006
na meri aag ki yeh shualagi baqi rahey gi **
**na meri khak ki taseer rehney ke liye hai
Re: Bait Bazi — I-2006
Yeh dastoor e zabaa'n bandi hay kaisa tayri mahfil main
Yahan tou baat karnay ko tarasti hay zabaa'n mayree
Yay
Re: Bait Bazi — I-2006
yeh udas udas phirna ye kisi say bhi na milna
yunhi bay sabab nahi hai koi hadsa tu hoga