Bait Baazii

Naadan Hoon Main Ab Tak Yeh Bhi Nahin Samjha
Bejaan Buton Main Ibaadat Dhundta Hoon

noon:):)

*Nidhaal youn howay ke sub zarooratien marr gayeen
Na bhook hai na pyaas hai ye dil boht udaas hai *

Yeh khullay khullay se gaisoo inhain laakh tu sanwaaray
Mere hath se sanwartay tu koi aur baat hoti ...

Next: Ye

ye alug baat hai ke afsha`N na howa tujh pe warna
Mae ne kitna tujhe mehsoos kia tere baad

Dekha hai zindagi mein hum ne yeh aazmaa ke
Detay hain yaar dhoka dil ke kareeb aa ke
Ay nakhuda Khuda ka kuch khauf tu khaya hota
Kashti meri daboo di Saahil ke paas laa ke ...

Next: Ye

Yeh Galat kaha kese na hamein gul k arzo hai
jo khabhi cuhba tha dil mein wohe kaar dohndtay hain...

Ps: shayd "cuhpa" sahe nahi likha*konfused* sorry... don't how to write it:s

*Na ye zindagii merii zindagii na ye daastN merii daastaN
Mae khiyaal-o-wehm se duur hoon mujhe aaj koii sada na de *

Yaad rakhna hamari qurbat ko
Qarz hai tum per chaar pholoon ka ...

Next: Alif

**ab zikr-e-hijr hai na hee qissah visaal kaa
:a'alam ab aur hai miree bazm-e-Khayaal kaa:

lo! aaj ham ne toR diyaa rishtah-e-umeed
ab kyaa savaal un se javaab-o-savaal kaa?**

*
Ik sabz shaakh gulaab ki thee ik duniya apne khwaab ki thee
Wo ik bahaar jo ayee nahi us k liye sub kuch haar diya *

Yaad aajati hain jab bhi qurbattain teri
Aanso'oun ka silsila phir dair talak rawaan rehta hai
Jaanti hoon ke ab kabhi na aaoge tum is nagar
Phir bhi har aan teri aahat ka gumaan rehta hai

ibne maryam hua karay koi
meray dukh ki dawa karay koi

Ghalib

isliay bhi raat ko ghar se nikal aata hun main
sardiyon k chand ko ahsaas.e.tanhaai na ho..

*Wo parsitish-e-ghum ko ayien hien kuch keh na sakoN chup reh na sakoN
Khamoosh raho`N tu mushkil hai keh duun tu shikayat hotii hai *