Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
yeh rakh rakhaao mohabbat sikha gai us ko
wo roth kar bhi mujhay muskura kay milta hai
“yeh”
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
yeh rakh rakhaao mohabbat sikha gai us ko
wo roth kar bhi mujhay muskura kay milta hai
“yeh”
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
***Yunhi nahe nikhra huwa pholoon ka tabassum
Ay baad-e-saba baag mein woh aaye huwe hain …
“Noon”
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
Na tan maiN Khoon faraham na ashk aankhoN maiN
Namaaz-e-shoq to wajib hai bey wazoo hee sahee
**" Yay " **
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
yuun to har lamhaa terii yaad kaa bojhal guzaraa
dil ko mahasuus huii terii kamii shaam ke baad
“dal”
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
Daagh duniya ne diye zaKhm zamane se mile!!!
Hum ko ye tohafe tumhein dost banane se mile
“ye”
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
Yeh jafa-e-gham ka chara woh nijaat-e-dil ka aalam,
Tera husn dast-e-Eisa, teri yaad roo-e-Maryam!
“memm”
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
**Mujhay aaj bhi uske pyaar ki Shiddat ronay nahin deti…
Wo kehta tha Marr jaun ga tere Ansoo k girnay se pehlay.
**
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
**Yunhi apni dosti mein gehrai rahe, Chahe kyu na umar bhar judai rahe, Ek hi arzoo dil mein samaai rahe, Aap hamesha khush raho bhale hi yahan tanhai rahe……
´´alif´´
**
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
It should be “Yay” and not Alif …
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
Yeh duniya hai yahaan dil ka lagaana kis ko aata hai
Hazaaroon pyar kartay hain nibhaana kis ko aata hai …
“Ye”
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
It should be “ALIF” and not YE
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
In aakhon mein aasu aaye na hote..
Wo jo mud mudkar yu muskuray na hote..
Unke jane ke baad ye Gam hota hai…
Kaash wo Zindagi Mein Aaye na hote..
ye
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
Tell me how … ? Prove it !
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
Ye mojza bhi muhabat kabhi dekhaye mujhe
Ke sang tujh pe gire aur zaKhm aaye mujhe
“ye”
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
yunhi mosam ki ada dekh ker yaad aya hey
kis qader jald badal jate hain insan janaan
“noon”
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
The correct shair is koi hath bhi na milayega jo gale miloge tapak se ye naye mizaz ka shahar hai zara faasle se mila karo
and it ended on “Wao”
Dont know exactly from where you got the idea to start with the word “Gaaf” … ?
Dont know exactly from where you got the idea to start with the word “Yeh” … ?
As I said earlier, it ended with “YE” and not “Alif”
[note] Friends, as per the above examples, it has been seriously observed that you are not following rules for Bait-Baazi. Please see the correct last word before posting your reply. Thanks ! [/note]
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
Nasir yun us ki yaad chali haath thaam ke
Melay mein is jahaan ke khonay nahe diya …
“Alif”
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
**sorry mistake hogai
@
ass ki batoN meiN piyar ki khushbo
ass key Lehjey meiN dilrubayi hay
reit key khoshNoma gharoNdo sey
ak duNya Nayi basayi hay
**
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
yaad karnay kay siwa ab kar bi kya saktay hain bhool janay mai tujhay nakaam ho janay kay badhH or hey is next
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
hum ahlay wafa k logon ka tum haal bhala kia janoo gay…
dil ki baat chpatay hain..aansoo tak pee jatay hain…