Re: Bait Baazi — Personal Edition
**yeh bhii to karam hai k zaKhmoN ko jilaate haiN
hai unkii jafaa meN bhii andaaz-e-maseeHaaii
YE se**
Re: Bait Baazi — Personal Edition
**yeh bhii to karam hai k zaKhmoN ko jilaate haiN
hai unkii jafaa meN bhii andaaz-e-maseeHaaii
YE se**
Re: Bait Baazi — Personal Edition
Ye roshni ke sil'siley kuch door tak to aaeiN ge
tum soch lo phir raastey taareek'tar ho jaeiN ge
"Ye"
Re: Bait Baazi — Personal Edition
yehi soch ker hum hamesha chup rhe ZIA
wo bat kare ga or ham lajawab ho jain ge...
Re: Bait Baazi — Personal Edition
**ye keya k koi sch nazar aaya naheeN FaSeeH
ye keya k apne aap ko jhuTla raha hooN maeN
noon**
Re: Bait Baazi — Personal Edition
Nice sheir Faseeh bhai…
k: … and welcome back ![]()
Re: Bait Baazi — Personal Edition
**Naya Sooraj Mairay Angaan Main Hur Subho Ko Chamakta hay
Jalata Hay Magar Ummeed Ki KirnaaiN Nahi Daita....**
Re: Bait Baazi — Personal Edition
**Naya Sooraj Mairay Angaan Main Hur Subho Ko Chamakta hay
Jalata Hay Magar Ummeed Ki KirnaaiN Nahi Daita....**
**
waah, waah, waah! mashaa Allah bahot Khoob :)
ulfat ke chaman kii yaadoN ko aabaad sadaa rakhne ke liye
kaaNToN ko bhii ham phooloN kii taraH seene se lagaayaa karte haiN!
NOON se**
Re: Bait Baazi — Personal Edition
Nachtay rehtay her simat teri yaad ka sayee
Woh waqt meri aank ki putli main buss gaya
'Alif'
Re: Bait Baazi — Personal Edition
wow…idhar to barri gehma-gehmi ho gai hey…waddey, waddey shora-e-ikraam nazar aa rahey heiN ![]()
Khalil bhai that’s great
k:
Re: Bait Baazi — Personal Edition
fara ji bohat khoob … keep it up…
k:
Re: Bait Baazi — Personal Edition
Aek pal meiN mehakney lagi zindagi
aas ki shaakh par gul khila hey ajab
qismateiN, aadateiN, aam heiN sab meri
sarkashi ka magar hosla hey ajab
"Bey"
Re: Bait Baazi — Personal Edition
Buhat sada magar purkaar lehja hay...
Meray kanooN Main Ju russ gholta hay...
Re: Bait Baazi — Personal Edition
yadon k bhanwar main kahin doob na jana
ham yad to kerte hain per kinare tak...
Re: Bait Baazi — Personal Edition
Kya khabar kon simteiN gaNwa dey yahaN
naqsh rasttoN pe apney ubharey chalo
bojh ban'na kisi par munasib nahi
aek apni khudi ke sahaarey chalo
"Wao"
Re: Bait Baazi — Personal Edition
wehshat si kiun cha gai bam-o-dar main
mene to bas hole se tera naam lia tha...
Re: Bait Baazi — Personal Edition
Good one Shazia :k:
Aek muddat hui tham gaeiN aaNdhiyaN
gard chehrey pe phir bhi jami hi rahi
kis duwa ney hameiN zindagi bakhs di
saaNs to yuN kaho ke thami hi rahi
“Ye”
Re: Bait Baazi — Personal Edition
Awesome qat’a…
Re: Bait Baazi — Personal Edition
**
bahooot hii laa_jawaab qit’a hai aapkaa ![]()
yeh tark-e-mai kii hidaayateN naaseHaa mujhe de rahaa hai, jab k
Khumaar koii nasheelii aaNkhoN kaa mere dil par chaRhaa rahaa hai**
Re: Bait Baazi — Personal Edition
**
Yeh kaisi dhoop hay, sayaa kahan nahi maloom
Kay abr barsay khuda janay kub, nahi maloom
Wo rastay main kabhi mil he jayaingay, chup chap
Hum unko khoj rahay kub say, kuch nahi maloom**
'Meem'
Re: Bait Baazi — Personal Edition
** Yeh kaisi dhoop hay, sayaa kahan nahi maloom Kay abr barsay khuda janay kub, nahi maloom
Wo rastay main kabhi mil he jayaingay, chup chap Hum unko khoj rahay kub say, kuch nahi maloom**
'Meem'
**
waah, bahooot Khoob...nahiiN ma'loom ko baRii chaabukdasti se use kiyaa hai...:)
mar mar ke jiye jaane kaa maza miltaa hai tumehN kia, "Sai'hbaa Ji!"
sau dard chhupaa kar seene meN dunyaa ko ahNsaa kar dekh liyaa
ALIF se**