Bait Baazi Month Of September 2009

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

aik adhoora wada us ka, ik shikasta dil
lutt bhi gai to shehr-e-wafa ki daolat kitni hai
main saahil hoon AMJAD or wo darya jaisa
kitni doori hai dono mai, qurbat kitni

ye dil ye paagal dil meraa kyo.n bujha gayaa aavaaragii
is dasht me.n ik shahar thaa vo kyaa huaa aavaaragii

yohi besabab na phira karo kisi shab ghar bhi raha karo woh ghazal ki suchi kitaab hai usay chupkay chupkay parha karo

wao :chai:

**Bashir Badr kii Ghazal jiskaa yeh she’r hai bahooot umda hai jo aapke zauq_o_shauq ke 'aalaa sataH kii numaayindagii kartaa hai.

aapko ta’ajjub hogaa k janaab e Bashir Badr saaHib ne mujhe urdu kaa ek course paRhaayaa thaa jab maiN AligaRh Muslim University meN taalib-e-'ilm huaa kartaa thaa. vo bhi kia bahtareen shab-o-roz the.

koi lauTaa de mire beete huye din

ab isii baat ko dekhiye bahtareen andaaz meN 'allaamah Iqbaal ne kaise kahii:

haN, dikhaa de, ai tasavvur! phir vo subH_o_shaam tu!
dauR peechhe kii taraf, ai gardish-e-aiyaam, tu!

to, yeh lijiye Harf e VAAO se she’r:

vatan kii fikr kar, naa_daaN! museebat aane_waalii hai
tirii barbaadiyoN ke mashvare haiN aasmaanoN meN :(**
**
Harf-e-NOON se she’r marHamat farmaaiye, plz!**

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

nahi jaan e jahaan aisa nahi hai!!!
ye bandhan tootnay wala nahi hai

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

MashaAllah buhat khush naseeb hain aap jo Bashir Badar Sahib jaisay ustaad ka sath milla. Noon say She'r paish-e-khidmat hay Umeed hay aap ko pasand aai ga ... waisay mujhay yah she'r kissi ustaad ka he lagata hay

Neend Bhari Aankhon Se Chooma Diye Ne Sooraj Ko Aur Phir
Jaisse Shaam Ko Ab Nahin Jalnaa, Khainch Li Is Andaaz Mein Chupp
<!--[if !supportLineBreakNewLine]-->
<!--[endif]-->

**bas janaab ek daur tha jo guzar gayaa ek waqt thaa jo nahiiN rahaa jaise jo haal thaa miraa vo nahiiN rahaa aur jo uskii chaal thii na rahii

aapkaa pesh kardah she'r bahoootpasand aayaa aur yaqeenan kisi ustaad kaa hai. shukria share karne ke liye.

Harf "PE" se she'r pesh-e-Khidmat hai:

parishaaN huN maiN musht-e-Khaak, lekin kuchh nahiiN khultaa
sikandar huuN k aaina huN yaa gard-e-kudoorat huuN

Harf-e-"NOON" se she'r marHamat farmaayeN, plz!**
<!--Session data-->

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

Wah G Wah Lutaf Aa gia parh kar .....

** Na kartaa zabt maiN Naalaa to phir aisaa dhuaaN uThtaa
ki neeche AasmaaN ke aur nayaa ik AasmaaN hotaa
**
(Zauq)

(Alif)
<!--[if !supportLineBreakNewLine]-->
<!--[endif]-->

ab usay roz na sochun to badan toot jata hai faraz
ik umr guzri hay us ki yaad ka nasha kertay kertay . . .!!

"ye"

bohot khoob !!!

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

welldone Adeel ........

Yoon Bicharnaa Bhi Bahut Aasaan Na Thaa Us Say Magar
Jaatay Jaatay Us-Kaa Woh Mur Kar Dobaarah Daekhnaa

Iss darja-e-ehtiyat se likha hai khat usay
roya hoon yoon k harf bhi geelay nahi huay

"ye"

yehi bohat hai k baitha hai sir jhukaiy howay mujhay ujar kar woh shaks sharamsaar tou hai

ye :chai:

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

Yeh duniya to khugar hai halaat ki
Yahan ab nahin qadar jazbaat ki

Ye

  • yaad aata hay roz-o-shab koii hum se rootha hay be-sabab koii*

"ye"

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

Ye Khuley Khuley Sey Gesu Inhey Laakh Tum Sanwaaro
Merey Haath Sey Sanwartey To Kuch Aur Baat Hoti

"ye"

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

ye nahi k sirf ankhain bujh gaeen
dil pe uski mehrbaani aur hai!!!!!!

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

Ye Aarazuu Hii Rahii Ko_Ii Aarazuu Karate
Khud Apanii Aag Me.N Jalate Jigar Lahuu Karate
Tere Jamaal Kaa Paratau Nigaah Me.N Hotaa
Kabhii Sabaa Se Kabhii Gul Se Guftaguu Karate

:yeh"
<!--[if !supportLineBreakNewLine]-->
<!--[endif]-->

  • yaar thaa gul_zaar thaa baad-e-sabaa thii mai.n na thaa
  • laayaq-e-paa-bos-e-jaa.N kyaa hinaa thii mai.n na thaa *

"alif"

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

Ik ik karke saari uljhanon ko jazba-e-dil ke naam kiya
me ne khud hi apne dil ko aksar be-aaraam kiya

Alif