Bait Baazi Month Of September 2009

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

Na kisi ki aankh ka noor hoon,na kisi ke dil ka qaraar hon
Ju kisi ke kaam na aa sake main woh ek musht e ghubaar hoon

"Noon

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

Hadsay kiya kiya teri be rukhi se ho gaye
sari duniya k liye hum ajnabi se ho gaye

"ye"

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

Yeh yaad tha ke dua karoon
Par utthay rahey mere haath yun
Jaise khwahishon ke hajoom mein
Kahein khoo gayi teri arzoo

"Wao

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

woh baat baat pe deta hay mjhei parindon ki misaal

saaf saaf nahe kehta k mera shehr chor do . . .

"wao"

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

Wo saanp se bhi khatarnak aadmi ho ga
jo dil se dil to milahe nazar mila na sake

Ye

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

yun dekhtay rehna usay acha nahe mohsin

woh kaanch ka pekar hay tou pathar teri ankhein . . .!

(Mohsin Naqvi)

"noon"

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

Na ankhon men ansoo na lab pe hansi
ye kia zindagi bewafa de gaya

ALif

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

aur uski narm palkoun k hasee'n saaye bhi geele hein
aur uski khamshi esi k jis mein baat rehti hay . . . .

mjhei ab woh kuch nahe kehti muhabbat kuch nahe hoti
k ab shayad muhabbat ki woh sab ramzein smjhti hay . . .

"ye"

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

**yeh maiN ne maanaa k amn_gustar yeh gesuu-e-pur_shikam nahiiN hai
dikhaa mujeh vo Hayaat kaa rang jidhar koii makr_o_fan nahiiN hai

Ali Z. Usmani [my Dad]

Harf "YE" se she'r marHamat farmaaiye, plz!**

<!--Session data-->

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

*Yeh Sadma Uthanay Ki Himat Nahi Hay
Jo Beetey Sunanaay Ki Himat Nahi Hay
Juda Ho Kay Tujh Say Mera Haal Kiya Hai
Kisey Ko Baatanay Ki Himat Nahi Hay
*
<!--[if !supportLineBreakNewLine]-->
"yay"
<!--[endif]-->

yahan tak barh gaye aalam-e-hasti

k dil k hoslay shal ho gaye hein . .

kahan tak taab laye natawa dil

k sadmay ab musalsal ho gaye hein . .

"noon"

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

***Nazar mila k bhi tum se gila karun kaise
tumhare dil pe mera ekhtiar thori hai

Ye


Re: Bait Baazi Month Of September 2009

**yeh vaadiyaaN, yeh fazaayeN bulaa rahii haiN tujhe
KhamoshiyoN kii sadaayeN bulaa rahii haiN tujhe

YE se**
<!--Session data-->

yun tere husun ki tasveer ghazal mei aye

jese bilquis sulema'n k mehel mein aye . . .!!

jabar se ek huwa zaiqa hijro visaal . . .

ab kahan se woh maza sabar k phal mein aye . . !!

"ye"

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

Buhat Khoub Adeel & Teray Naam ... Acha Taal Mail raha aap donoon ka lutaf aa gia parah kar ........

li gie sanbhaliye ..

Yaad Thin Hum Ko Bhi Rangarang Bazm Aar'iyan
Lekin Ab Naqsh-0-Nigaar-E-Taaq-E-Nisyaan Ho Gayin

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

na kisi ki ankh ka noor hoon, na kisi k dil ka qaraar hoon
jo kisi k kaam na aa skay main wo aik musht-e-ghbaar hoon!

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

wah g wah maza aa gia prah kar ..... lain g

*Nahin Ke Mujh Ko Qayaamat Ka Aiteqaad Nahin
Shab-E-Firaaq Say Roz-E-Jazaa Ziyaad Nahin
*

Ghalib
<!--[if !supportLineBreakNewLine]-->
"noon"<!--[endif]-->

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

na main pas usko bula saka
na main dil ki baat bata saka
wo yoon jald bazi main chal diya
k main hath takk na hila saka
wo juda bhi kaisay hua k main
koi rasm bhi na nibha saka!

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

nice Chandarmukhi ......

Agaahye Khob Hai Is Dor Ke Insanon Ki
Rah Milti Hai Harm Ki Na Sanam Khano Ki

"ye"

Re: Bait Baazi Month Of September 2009

ye socha tha ke zakhm e dil badan main phail jae ga
magar tu nay madawa kar diya ahista ahista!!!!!!!!!!