Bait Baazi Month Of October 2010

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

yi zindagi hi ya koe saza hay

hum to es geenay k hathon mar chlay

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

Yaad aunga tum ko zehan ki har ek manzil pe
Harf-e-saada tau nahe jo bhulaaya jaun ...

Next: "Noon"

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

narm lafzon say b lag jate hayn chotayn aksar

dostee bara nazuk sa hunar hotee hi

                                                                               yay

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

***Yeh Kis Nay Mujhay Mast Nazroo'n Say Daykha

Lagey Khud Bakhud Hee Qadam Larrkharranay

Chalo Tum Bhi GUMNAAM Ab Maykaday Main

Tumhain Dafan Karnay Hain Kai Gham Pooranay


Yay

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

yahan kisi ko bhi hasbay arzu na mila

kisi ko hum na milay koe hamay na mila

                                                                    ALIF

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

Aa Ja K Abhi Zabt Ka Mausam Nahi Guzra

Aa Ja K Paharro'n Pay Abhi Barf Jami Hay

Es Shaher Sa Lay Kar Sitaroo'n Ki Hadoo'n Tak

Es Shaher Main Sab Kuch Hay Bzs Ek Tayri Kami Hay

Yay

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

yun b rakh longa tari mast nigahi ka bharam

hosh aya b kah donga mujay hosh nhi

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

Nahe mumkin ke mein zinda rahun tujhse juda ho kar
Rahunga tere qadmoon mein hamesha khaak-pa hokar ...

Next "Ray"

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

last word was nhi so it should b yay any way

rok sako to pehli barish ki bondon ko tum roko

kachi mitti to mahkay gi hay mitti ki majburi

                                                                                       yay

Re: Bait Baazi Month Of October 2010


Nahi....Nahee'n have NooN'Ghunna In End So Amarbail Bhai Is Right :-)

Yahaan Say Kahee'n Lay Chal Khayal e Yaar Mujhay

Chaman Main Raas Na Aa'egee Yeh Bahar Mujhay

Aziz Ahl e Chaman Ki Shikayat Bay-sood

Faraib Day Gai Rangeeni -e-Bahar Mujhay

Yay

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

Yeh jo zindagi ki kitaab hai, yeh kitaab bhi kya kitaab hai
Kaheen ek haseen sa khwaab hai, kaheen jaan leva azaab hai ...

Next: "Ye"