**Rules of Bait Bazi:
1.** Shair should be genuine and not your own. Post your own in Bait Bazi — Personal Edition of Sho’ra-e-Gupshup.
2. Dont break the chain and always follow the last letter of the last posted shair.
3. Always mention the last urdu alphabet of your shair.
**4. **If you know the name of the poet, mention that (for other’s knowledge sake).
5. Do not write out the whole ghazal/nazam; only two shairs (i.e. Rubai, qita) at max will be allowed.
Last Sher Was posted by redidentity
Do Chaar Lafz Keh Ke Main Khamosh Hogaya
Wo Muskura Ke Bolay, Buhat Boltay Ho Tum
Re: Bait Baazi Month Of May 2009
mil bhii jaate hai.n to kataraa ke nikal jaate hain
haaye mausam kii tarah dost badal jaate hain
**noon**
Re: Bait Baazi Month Of May 2009
Na Aatay Tum, Iss Main Takraar Kia Thi
Magar Waada Kertay Huay Aar Kia Thi
'Ye'
Re: Bait Baazi Month Of May 2009
Ye bhi andaaz hamare hen tumhen kia maloom
hum tumhen jeet ke hare hen tumhen kia maloom
"Meem"
Re: Bait Baazi Month Of May 2009
Main Tera Naam Na Loon Phir Bhi Log Pehchanain
Ke Aap Apna Ta'arruf Hawa Bahaar Ki Hai
'Ye'
Re: Bait Baazi Month Of May 2009
ye ab khulaa hai ki koii bhii manzar mera na tha
main jis mein reh raha tha vahii ghar mera na tha
**Alif**
Re: Bait Baazi Month Of May 2009
ye fizaa jo gard-o-Gubaar hai merii bekasii kaa mazaar hai
main vo phuul hoN jo na khil sakaa merii zindagii mein vafaa kahaaN
**Noon**
Re: Bait Baazi Month Of May 2009
Na Ker Iss Tarah Tu Meri Aarzu
Raigaan Jaye Gi Ye Teri Justuju
'Wow'
Re: Bait Baazi Month Of May 2009
wo to wo hai tumhain ho jaye gi ulfat hum se
ik nazar tum mera mehboob e nazar to dekho
'w0w'
Re: Bait Baazi Month Of May 2009
Wohi hai zindagi lekin Jigar yeh haal hai apna
Keh jaisay zindagi se zindagi kam hoti jati hai
yey
Re: Bait Baazi Month Of May 2009
Yeh Ishq-o-Mohabbat mehr-o-wafa sb rasmi rasmi baatain hain,
hr shaks khudi ki masti main bs apni khatir jeeta hai..
Yey
Re: Bait Baazi Month Of May 2009
Yeh keh ke kaat dii zabanein ehll-e-danish nayy...
na ho musarrif kissi shay ka tou wo be-kar hoti hai
Yeh
Re: Bait Baazi Month Of May 2009
Yeh aur baat hai dushman hoa hai aaj magar
woh mera dost tha kal tak usey bora na kaho
wow
Dua_G
May 24, 2009, 7:25pm
15
Re: Bait Baazi Month Of May 2009
Wo havaaon kii tarah Khaanaa_bajaan phirataa hai
ek jhonkaa hai jo aayegaa guzar jaayegaa
Wo jab aayegaa to phir us kii rafaaqat ke liye
mausam-e-gul mere aangan mein Thahar jaayegaa
(Parveen Shakir) Alif
Re: Bait Baazi Month Of May 2009
Akhir-e-shab ki daastan aur karain b kia bayaan
aikkk hi aah-e-sard thi saare diay bujhaa gayiii..
Yeh
Dua_G
May 27, 2009, 6:15pm
17
Re: Bait Baazi Month Of May 2009
yonh dijeay faraib-e-muhabbat k umer bhar
*mein zindgy ko yaad kron , zindgy mujhay *
"Yeh"
**Yeh **Haadsaat jo Hain Iztiraab Ka Payghaam
Yeh Haadsaat Hee Aaingey Saazgaar Mujhay
Aziz Ahl e Chaman Ki Shikayat Baysood
Faraib Day Gaii Rangeeni E Bahaar MujhaY
Yay
Lusi
May 30, 2009, 9:35pm
20
yeon tu syed bhe ho, mirza bhe ho, afghan bhee ho
tum tu sabhi kuch ho, bato tu musalman bhee ho
wow
(Iqbal, jawab-e-sikwa)