**Rules of Bait Bazi:
1.** Shair should be genuine and not your own. Post your own in Bait Bazi — Personal Edition of Sho’ra-e-Gupshup.
2. Dont break the chain and always follow the last letter of the last posted shair.
3. Always mention the last urdu alphabet of your shair.
**4. **If you know the name of the poet, mention that (for other’s knowledge sake).
5. Do not write out the whole ghazal/nazam; only two shairs (i.e. Rubai, qita) at max will be allowed.
Last Sher Was posted by being lonely
Yuun jo takataa hai aasamaan ko tuu
Koii rahataa hai aasamaan mein kyaa
Alif
Re: Bait Baazi Month Of March 2009
Iss sheher-e-be' charag mein jaaye gii tuu kahan
aa aey shab-e-firaaq tujhayy ghar hee le chalonn
Noon
Ahmi
March 2, 2009, 9:04am
3
Re: Bait Baazi Month Of March 2009
nahi nigaah mein manzil to justaju hi sahi
nahi visaal mayassar to aarazu hi sahi
na tan mein Khun faraaham na ashk aankhon mein
namaaz-e-shauq to vaajib hai be-vazu hi sahi
"ye"
Re: Bait Baazi Month Of March 2009
ye tum ne theek kaha hai tumhein mila na karun,
magar mujy ye bata do kay keoon udaas ho tum
(sahar ludheyanwi)
meem
Re: Bait Baazi Month Of March 2009
matlab ki duniya hai
yahan kaun kisi ka hota hai
wohi dhoka dehta hai
jispar bharosa hota hai
'ye'
Re: Bait Baazi Month Of March 2009
vaaN nahiin vaqt to ham bhii hain adiim-ul-fursat
us se kyaa kahiye jo har roz kahe kal milanaa
Alif
Re: Bait Baazi Month Of March 2009
ye kaun aansuon ki saza de gya mujy
jeeny ki jaty jaty dua day gya mujy..
ye
Sheal
March 5, 2009, 10:11pm
10
Yay soocha tha teri khatir ka'ee moti nikalooN ga
MaiN jis rastay maiN tha, us maiN samander hi nahiN aaya
" Alif "
Re: Bait Baazi Month Of March 2009
Yaar thaa gulzaar thaa baad-e-sabaa thii main na thaa
Laayaq-e-paa-bos-e-jaaN kyaa hinaa thii main na thaa
**Alif**
Re: Bait Baazi Month Of March 2009
Apni wehshaton pe b yeh khamoshi Hafeez`
hum ko kisi toofan ki amad ka pata dayti hai
Yeh
Re: Bait Baazi Month Of March 2009
Yeh keh kar kaat dee zabanain ehl-e-daanish ne
na ho mussarif kissi shay ka to wo bekar hoti hai
suron ki fasl pakne ka koii mausam nahinn hotaa
kabhi matlaq sadaqat b zameen par baar hoti hai
Yeh
Re: Bait Baazi Month Of March 2009
Usse taraash ke heera bana diyaa hum nayy Faraz`
magar ab ye sochte hain usse hum khareedein kaise
Yeh
Yeh meri kitaab-e-hayaat hai, issay dill ki ankh sey perh zaraa
Mein warq warq teray samnay, teray ro-baroo, teray saath hoon
Re: Bait Baazi Month Of March 2009
**Na **Haara Hay Ishq Na dunyaa Thaki hay
Diya Jal Raha Hay Hawaa Chal Rahi Hay
Aray O Jafaao'n Pay Chup Rahnay Waloo'n
Khamooshi Jafaa'on Ki Taa'eed Bhi Hay
Yay
Re: Bait Baazi Month Of March 2009
Yeh soch kar ke ab koii mananay nahin aaye ga
harr baat pe rooth janay kii aadat nahinn rahee
Yeh