**Rules of Bait Bazi:
1.** Shair should be genuine and not your own. Post your own in Bait Bazi — Personal Edition of Sho’ra-e-Gupshup.
2. Dont break the chain and always follow the last letter of the last posted shair.
3. Always mention the last urdu alphabet of your shair.
**4. **If you know the name of the poet, mention that (for other’s knowledge sake).
5. Do not write out the whole ghazal/nazam; only two shairs (i.e. Rubai, qita) at max will be allowed.
Last Sher Was posted by** Lusi**
yeon tu syed bhe ho, mirza bhe ho, afghan bhee ho
tum tu sabhi kuch ho, bato tu musalman bhee ho
wow
Re: Bait Baazi Month Of June 2009
Woh Juda Bhi Kaisay Huwa, Main Koi Rasm Bhi Na Nibha Saka
Woh Hansi Hansi Mein Hi Chala Gaya Mein Hath Tak Na Hila Saka
**Alif **
Lusi
June 1, 2009, 8:34pm
3
Agah apni moa't say koi basher nahin
saman sao baras ka pal ke khabar nahin
Noon
Re: Bait Baazi Month Of June 2009
Ye juda'ion ke rastay bari duur tak gaye hain
jo gaya wo phir na aaya meri baat maan jao
'wow'
***yeh sardiyoon ka udas mosam k dharkanain baraf ho gai hain
jab un ki yakh bastagi parakhna, tamaztain bhi shamar karna
Alif
Re: Bait Baazi Month Of June 2009
ye kia ke bayaan sab se dil ki halatain kerni
faraz tujh ko na ayeeen muhabbatain kerni
'ye'
muncho
June 2, 2009, 2:41pm
10
Re: Bait Baazi Month Of June 2009
Re: Bait Baazi Month Of June 2009
aray :ASA:
**
**
**
Yeh Jis K Qahqahay Tum Sun Rahay Ho
**
Kissi Sadmay Say Pagal Ho Gaya Hay
**
Mayree Aankhoo'n K Darya Kaam Aa'ey
**
Tayra Sahra tou Jal Thal Ho Gaya Hay *
*
**
Yay
Re: Bait Baazi Month Of June 2009
ye aarzu thi tujhe gul ke ru'baru kertay
hum aur bulbul-e-betaab guftugu kertay
'Ye'
Re: Bait Baazi Month Of June 2009
yeh adat to husn'o wafa ke qayal jante hain mayri
ke piyar miley jahan bhi sir apna jhuka leta hoon
**Noon**
Re: Bait Baazi Month Of June 2009
Yun bhi to ik din us ko khhona tha
kuch na paya to ab shikayat kaisi
Ye
Re: Bait Baazi Month Of June 2009
Ye Jaal Sarey Hain Aarzi Ye Gulaab Sarey Hain Kaghzi
Gul-E-Arzoo Ki Jo Baas They Wohi Log Mujh Sey Bichar Gaye
Ye!
Re: Bait Baazi Month Of June 2009
Ye aur baat ke tum se gila nahi kertay
malaal kion nahi hota, malaal hota hai
'Ye'
Re: Bait Baazi Month Of June 2009
Yeh kis ke sogg mein shoridaa haal phirta honn
wo kaun shakhs tha aisa k mar gaya mujh mein
Noon
Re: Bait Baazi Month Of June 2009
na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke dil ka qarar hoon
jo kisi ke kaam na asakay main wo aik musht-e-ghubaar hoon
'noon'