Sheal
January 31, 2010, 6:13pm
1
**Rules of Bait Bazi:
1.** Shair should be genuine and not your own. *
— > Post your own in Bait Bazi — Personal Edition of Sho’ra-e-Gupshup.*
2. Dont break the chain and always follow the last letter of the last posted shair.
3. Always mention the last urdu alphabet of your shair.
**4. **If you know the name of the poet, mention that (for other’s knowledge sake).
5. Do not write out the whole ghazal/nazam; only two shairs (i.e. Rubai, qita) at max will be allowed.
Last shair was posted by terray_naam
Yun bichharna bhi bohat asaan na tha us se magar
jaate jaate us ka wo mur kar dobara dekhhna
Alif
Sheal
January 31, 2010, 6:18pm
2
Sheal
January 31, 2010, 6:26pm
4
Hum say bichar k us ka takabur bikhra gaya faraz
Her ek say mil raha hai wo bari aajzi kay sath
" Hay "
Re: Bait Baazi Month Of February 2010
Yahi kaha ke nai us ka raasta tha alag
phir us ke bahd hi khud ko udaas bhi dekha
Alif
Abhi mujh ko nahi krna hai atiraf-e-shikast
Main sab tasleem karlunga yeh charcha AAM hony do
waa'o
Sheal
February 3, 2010, 10:28pm
8
Wo bachpanay ki sharartaiN wohi jo rait jaisi thi khwahishaiN
Wo sharartaiN, wo khawahishaiN mah-o-saal din maiN badal ga'ay
" Yay "
Re: Bait Baazi Month Of February 2010
Uss ne hansi hansi main muhabbat ki baat ki
hum ne Adeem uss ko mukarnay nahin dia
'Alif'
Re: Bait Baazi Month Of February 2010
***Aik hi shehar men reh kar jin ko azn-e-deed na ho
yahi bohat he aik hawa men saans to lete hen
Noon
Sheal
February 6, 2010, 2:11pm
12
Na lamhay humaiN wasl k mil sakaiN gay
Keh hum hijr ki ek sada ho ga'ay haiN
Sada mousam-e-dar hai or khanum
Mareez-e-wafa la dawa ho ga'ay haiN hum
" Meem "
Re: Bait Baazi Month Of February 2010
Man jo sar basajda hoa to Zameen sy aany lagi ya sada
Tera dil to hy sanam aashina tujy kia milay ga namaaz man
Re: Bait Baazi Month Of February 2010
sorry...NOON
Re: Bait Baazi Month Of February 2010
Neeyat-e-Shoq bhar na jaye kaheen
tuu bhi dil se utarr na kaye kaheen
'Noon'
Sheal
February 6, 2010, 5:27pm
16
Na'ay baras ki sari subhaiN roshan rakhna
Na'ay baras ki sari shamaiN roshan rakhna
Na'ay baras maiN ek pal bhi na aa'ay juda'ai
Na'ay baras maiN tu shaad dil ka gulshan rakhna
" Alif "
Re: Bait Baazi Month Of February 2010
Issi andaaz main hotay thay mukhatib mujh se
khat kisi aur ko likho ge to yaad aunga
'Alif'
Sheal
February 7, 2010, 9:55am
18
Aik muddat hou taza haiN teri yaad kay zakhm
Yay nahiN ab kisi taryaaq say bharnay walay
" Yay "
Re: Bait Baazi Month Of February 2010
Yaran e tez gam nay memal ko ja lia
Ham mehv e nala e jars e karwan rahay
Re: Bait Baazi Month Of February 2010
Ye kis ne kaha tum kooch karo, batain na banao insha'jee
ye sheher tumhara apna hai, isay chhor na jao insha'jee
'Ye'