Bait Baazi - June 2012

Re: Bait Baazi - June 2012

yunhi besabab na phira karo koe sham ghar bhi raha karo
wo ghazal ki sachi kitab hei use chpke chupke parha karo

kaaf.wao

Re: Bait Baazi - June 2012

Aaina Kyun Na Doon Ke Tamaasha Kahen Jise
Aisa Kahaan Se Laaun Ke Tujhsa Kahen Jise

Re: Bait Baazi - June 2012

Kaafir ke dil se aya hon mein yeh dekh kar,
Khuda maujood hai wahan, Par usey pata nahin..

Re: Bait Baazi - June 2012

neend per jaal se parne lage awazon ke
orr phir hone lagi tere sada aahista
raat jab phul k rukhsar pe dhere se jhuki
chand ne jhuk ke kaha :orr zara aahistah:blush:

alif/hey

Re: Bait Baazi - June 2012

I like this one :devil:

har ek baat pe kehte ho tum ke ?too kya hai? ?
tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?

Re: Bait Baazi - June 2012

hey zamana khafa to baja hey ke main
us ke marzi ke bilkul manafee rahee

rey/yey

Re: Bait Baazi - June 2012

ye na thee hamaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota

tere waade par jiye ham to ye jaan jhoot jaanaa
ke khushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota

Re: Bait Baazi - June 2012

****gaaf/alif

Re: Bait Baazi - June 2012

'Ghalib' chuTii sharaab par ab bhi kabhi-kabhi
peeta hon roz-e-abr-o-shab-e-maahataab mein

Re: Bait Baazi - June 2012

na Khuda hi mila , na wasaal e Sanam
Na idhar k rahey , na odhar k rahey

Re: Bait Baazi - June 2012

Yeh mojeza bhi mohabbat kabhi dikhaaye mujhe
Ke sang tujh pe gire aur zakhm aaye mujhe..

Re: Bait Baazi - June 2012


yeh to aise hii huaa k...Hukkaam khaayeN phal fruit aur awaam khaaye joote, thappaR! :D
**
mirii jaan dard se hai bharii, miraa waaqi'a nahiiN sar-sarii
mire aaNsuuoN ko na chheRiye jo abhii na qasd-e-qayaam ho!**

a she'r by: my Dad! :)

Re: Bait Baazi - June 2012

**Hai aap ka aisa muskarana ke chand bhi sharmagaya
hai aapka aisa muskarana ke phool ko pasina aagaya

Alif **

Re: Bait Baazi - June 2012

ek dusre ko jaan na paey tamam umer
ham hi ajeeb they ke zamana ajeb tha

THEY/ALIF

Re: Bait Baazi - June 2012

Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay
Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay
Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya
Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay

Re: Bait Baazi - June 2012

yaad meri bhi parri rehti hai takiye ke talay
aakhri khat ki tarhaa roz jalaati hon issay

Re: Bait Baazi - June 2012

Yeh Sehar jo kabhi farda hai kabhi hai Amroz
Nahin Maaloom k Hoti hai Kahan say Paida
Woh sehar jis say larazta hai Shabistan-e-Wujood
hoti hai banda-e-Momin Ki Azaan Say Paida

Re: Bait Baazi - June 2012

Ae iraado!!! Mujhe takmeel ki taaseer dikhaao
Khab maiN dekh chuka huN mujhe taa’beer dikhaao

Re: Bait Baazi - June 2012

**do-pahar kii dhuup me.n mere bulaane ke liye
vo teraa kothe pe na.nge paao.n aanaa yaad hai

hey/ye**

Re: Bait Baazi - June 2012

yehi wafa ka sila hai tou koe baat nahi
ye dard tumse mila hai tou koe baat nahi