**Tujh say milta hoon tou iss soch main par jata hoon
main waqat kay paoon main zanjeer daloon kaisay **
:hinna:
**Tujh say milta hoon tou iss soch main par jata hoon
main waqat kay paoon main zanjeer daloon kaisay **
:hinna:
Re: Bait Baazi - June 2012
**Ye raah akeli kathti hai yaan saath na koi yaar chale
Us paar na jaane kya paain es paar to sab kuch haar chale
che/ye**
Re: Bait Baazi - June 2012
Chahat main kia dunia dari, ishq main kaisi majboori
Logon ka kia samjhane do, unn ki apni majboori
Re: Bait Baazi - June 2012
Main umr ke rastay mein chup-chap bikhar jata
Ek din bhi agar apni tanhai se dar jata
Main tark e ta’alluq pe zinda huN so mujrim huN
]Kash uske liye jeeta!! apne liye mar jata
Re: Bait Baazi - June 2012
Main umr ke rastay mein chup-chap bikhar jata Ek din bhi agar apni tanhai se dar jata Main tark e ta’alluq pe zinda huN so mujrim huN ]Kash uske liye jeeta!! apne liye mar jata
Very Nice.. LP...
Re: Bait Baazi - June 2012
next sher kahan hai ![]()
Re: Bait Baazi - June 2012
*Aik khwab ko **aankhon se utarnay nahi deta
Kuch bhi ho humay hud se guzarnay nahi deta
Kuch hum ko bhi paas-e-mohabbat ka hai ehsaas
Woh shakhs bhi waday se mukarnay nahi deta .***
Re: Bait Baazi - June 2012
Uss ne uljha dia mujhe dunya main
warna ek aur qalandar hota
Kash aisa koi manzar hota
Mere kaandhe pe tera sir hota. :hinna:
Re: Bait Baazi - June 2012
Ab kya hai jo tere paas aauN
Kis maan par tujhko aazmaauN
**
Zakhm ab ke to saamnehi khaaauN
Dushman se na dosti buRhaaauN**
Re: Bait Baazi - June 2012
Buhat bewafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do
Re: Bait Baazi - June 2012
Wo roz dekhta hai doobte hue sooraj ko
Kash main bhi kisi shaam ka manzar hota
Re: Bait Baazi - June 2012
Ae mere liye na dukhne waale
Kaise tere dukh samet laaauN
Re: Bait Baazi - June 2012
laee hayat aeey, qaza lai chali chaley
na apni khushi aeey na apni khushi chaley
Re: Bait Baazi - June 2012
]Yeh na thee hamari Qismat K wisaal E yaar hota
Agar aur jeete rahtay, yehi intezaar hota
Tere waa’de par jiyee ham to yeh jaan chhooT jana
K khushi se mar na jaate!!! agar intezaar hota
Re: Bait Baazi - June 2012
is qadar musalsal theeN shiddateeN judai ki
aaj pahali baar maiN nai us sai baywafie ki
Re: Bait Baazi - June 2012
Khaa kar zakhm duaa di ham ne **
Bas yuuN umr bitaa dii ham ne**
Re: Bait Baazi - June 2012
is qadar musalsal theeN shiddateeN judai ki aaj pahali baar maiN nai us sai baywafie ki
welcome back. it must have been 8 or 9 years since you posted.
Re: Bait Baazi - June 2012
welcome back. it must have been 8 or 9 years since you posted.
Thank you Ehsan Bhai but GS was in my life directly and/or indirectly
Re: Bait Baazi - June 2012
I got it…
…right…![]()
Re: Bait Baazi - June 2012
Khaa kar zakhm duaa di ham ne ** Bas yuuN umr bitaa dii ham ne**
nahi nigah meeN manzil tu justujuu hi sahi
nahi visaal mayassar tu aarzuu hi sahi