Bait Baazi - June 2012

Re: Bait Baazi - June 2012

aankh se door na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa

Re: Bait Baazi - June 2012

mere subse fav hai ye…and i post it everytime i get a J :sid:

but I still lvoe posting it baar baar :hehe:

Jab yaar ne rakht E safar baandha kab zabt ka yaara us din tha

Har dard ne dil ko sehlaayaa!! kya haal hamaara us din tha
Jab khaab hui us ki aaNkhain jab dhund hua us ka chehraa
Har ashk sitaara us shab tha har zakhm angaara us din tha

Re: Bait Baazi - June 2012

tum bhi Khafaa ho log bhi burham haiN dostoo
ab ho chalaa yaqeeN ke burey hum haiN dosto

Re: Bait Baazi - June 2012

dil bhi bujha ho sham ki parchaaiyaaN bhi na hoon
mar jaeey jo aisey meeN tanyhiyaaN bhi na hoon

Re: Bait Baazi - June 2012

ham saadaa hi aisey theey, ki yuN hi paziraee
jis baar KhizaaN aaee, samajhey k bahaar aaeee

Re: Bait Baazi - June 2012

Ye mojaza bhi mohabbat khabhi dikhaye mughay
Kay sung tugh pay giray aur zakham aae mughay

Re: Bait Baazi - June 2012

mudda'ii laakh buraa chaahe to kia hotaa hai
vohii hotaa hai jo manzoor-e-Khudaa hotaa hai

Re: Bait Baazi - June 2012

yahaan say aab kaheeN lay chal khayaal-e-yaar mujhey
chaman meeN raas na ayeegi yee bahaar mujhey

Re: Bait Baazi - June 2012

muskuraane se kuchh nahiiN hotaa...khilkhilaao, to koii baat bane!
chuTkiyaaN le ke tum rulaatii ho, gudgudaao, to koii baat bane!

a mazaaHiya she'r by:** ME** :p

Re: Bait Baazi - June 2012

:hehe:
i dont like gudgudi :grumpy:

Re: Bait Baazi - June 2012

Ilaahi duaa meN asar dijiye
Bhatakte musafir ko ghar dijiye
Jhuke na kabhi bhi jo zalim ke aage
HameN bhi khuda ya wo sar dijiye

Re: Bait Baazi - June 2012

***Yah aor baat hai dushman hai aaj magar*
**Woh maira dost tha kal tak usay bura na kaho

kaaf/wao****

Re: Bait Baazi - June 2012

Kabhi Kisi Ko Muqamal Jahan Nahin Milta
Kahin Zamin To Kahin Aasmaan Nahi Milta

Re: Bait Baazi - June 2012

****Us sheher me kitne chehre the kuch yaad nahi sab bhool gaya
Ik shakhs kitaabo'n jaisa tha wo shakhs zubaani yaad hua

hey/alif****
**
**

Re: Bait Baazi - June 2012

Hawa mahak uThi rang E chaman badalne laga
Woh mere saamne jab pairahan badalne laga

Re: Bait Baazi - June 2012

Lab pe aati hai dua bun ke tamanna meri
Zindagi shama ki soorat ho khudaya meri :halo:

Re: Bait Baazi - June 2012

Mujhe bhulna bhi chaho to bhula na sako ge
Main to palkon pe thahar jaoon ga, aaansoon ki tarah

Re: Bait Baazi - June 2012

Terii Khushbuu kaa pataa karatii hai
** mujh pe ehasaan havaa karatii hai** shab kii tanhaa_ii me.n ab to aksar
** guftaguu tujh se rahaa karatii hai**

Re: Bait Baazi - June 2012

Yaee KouN log AndherouN kee Baat kertay HaieN
Abhee tu chand tere yaad kay dhalay bhee nahieN

Re: Bait Baazi - June 2012

can we post a song…na na kerte kerte :hehe: