Meri aankhooN maiN aansoo pighalta raha, chaand jalta raha
Teri yadooN ka sooraj nikalta raha, chaand jalta raha
Yay december keh jis main kari dhoop bhi meethi lagnay lagi
Tum nahiN to december sulagta raha, chaand jalta raha
Iss dour mei Ilahi Mohobat ko kiya hoa?
chora wafa ko Un ney, Sakhawat ko kya hoa?
Umeed war e wada e Deedar mar chaley
atey hi atey yaaro qayamat ko kya hoa?
Ya rab yeh jitney gher hein ujaloun sey dour dour
utni hi roshni mei sitaroun sey cheez loun
jitney gareeb tann hei libadoun sey be niaz
utni hi chadrein mei mizaroun sey cheen loun
Nazar faraib-e-qaza khaa gaye tau kya hoga
Hayaat maut se takraa gaye tau kya hoga
Gham-e-hayaat se beyshak hay khuhkushi asaan
Magar jo maut bhi sharma gaye tau kya hoga ...
Nazar faraib-e-qaza khaa gaye tau kya hoga
Hayaat maut se takraa gaye tau kya hoga
Gham-e-hayaat se beyshak hay khuhkushi asaan
Magar jo maut bhi sharma gaye tau kya hoga ...
Next: "Alif"
Good One :)
~abhi is tarf na nigah ker mei ghazal ki palkein sanwaar loun
mera lafz lafz ho aiena tujhey aieney mei utaar loun
Na pooch mere sabar ki intehaa kahaa tak hai
Tu sitam kar teri taaqat kahaan tak hai
Wafa ki umeed jinhain ho gi unhain ho gi
Humein tau dekhna hai tu bewafa kahaan tak hai ...
Na jao haal-e-dil-e-zaar daikhtay jao
Ke jee na chahay tau nachaar daikhtay jao
Tumhare aankh mere dil se besabab be-wajah
Huwi hai larnay ko tayyar daikhtay jao ...
aey jaan teri yaad k bey dard parindey
shakhoun pey meri dard ki utrein gey kisi din
amjad hei yehi ab k kafn bandh k sir sey
us sher e sitam ger mei jayein gey kisi din