Bait Baazi for the month January 2011

Re: Bait Baazi for the month January 2011

is qehet-e dosti meiN koi mujh se kya milley*
khud apne aap ko bhi muyassar nahi hoN maiN*

"noon"

Re: Bait Baazi for the month January 2011

nhe hota kabhii jo raabta us se mera Mohsin
mae khud mein doob jata hoon, wo mujh ko mujh mien milta haii

ye :)

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Yoon tu kiya cheez zindagi main nahi
Jaisi soochi thee apnay jee main nahi

'ye'

Re: Bait Baazi for the month January 2011


ye warQ warQ terii daastaaN
ye sabak sabak tere tazkarayy
mae keron tu kese juda keron
tujhe zindagii kii kitaab se

"ye"

Re: Bait Baazi for the month January 2011

ye kahan ki dosti hy k banay hyn nasayh
koe charah gar hota koe ghamgusar hota
ALIF

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Aag kab bharkegi tere dil ki humein khabar nahe
Suna hai shola bhi sulagta hai dair tak aahista ...

Next: "Alif"

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Apni neend say mujhe kuch youn bhi mohobbat hai faraz

Kay us nay kaha tha mujhay pana tumhara sirf khwaab hai

"Yay "

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Yeh raaz-e-ulfat chupa ke rakhna na kholna lab na kuch bhi kehna
Kabhi mere samne jo baitho tau apni aankhoon se baatain karna ...

Next: "Alif"

Re: Bait Baazi for the month January 2011

**Arif bhai **aap ka signature kaam aa gaya :)

*Aaj toot kar us ki yaad aayi tau yeh ehsaas huwa
Uttar jayain jo dil mein bhulaaye nahe jaatay ...
*

"Ye"

Re: Bait Baazi for the month January 2011

** yaqeen hai kah nah aay ga muj sy milny koi**

** toh phir yeh dil ko mery intazaar kaisa hai**

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Yehi hai na tumhein hum se bichar jane ki jaldi hai
Kabhi milna tumhare maslay ka hal nikalenge ...

Next: "Ye"