Re: Bait Baazi for the month January 2011
Aankhoon ko intezar kay lamhaat saunp kar
neendeen bhi koee lay geya apnay safar kay saat
"hay"

ham aise mahv-e-nazaaraa na the jo hosh aataa
magar tumhaare taGaaful ne hoshiyaar kiyaa
"alif"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Aaa jaao gy haalaat ki zad py kisi rooz
ho jay ga maaloom khuda hay kay nahi hay
"Yee"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
yey masaael tasawuuf ! yey tera bayaan ghalib
tujhay ham wali samjhtay jo naa bada khuaar hota
"alif"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Eik naam kia likha taira sahil ki raait per
Phir umer bhar hawa sai mairee dushmani rahi
"Yee"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Thanks ![]()
**Yahan mazdoor ko marnay ki jaldi yoon bhi hai Mohsin
Kaheen mehnat ki kashmakash main kafan mehnga na ho jaye
Yey**
Re: Bait Baazi for the month January 2011
ye kyaa ke ek jahaa.N ko karo vaqf-e-iztaraab
ye kyaa ke ek dil ko shakebaa.N na kar sako
"wow"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
*Wo mar ghaya hay Saghir jisey tum poojtey ho
Os ko kisi ki yaad nay zinda jala dya *
"alif"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
**Ashkoon se wuzu ker kay ye khaamosh aankhien
Kerti hain teri roz ibaadat, ussey kehna
Alif**
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Uss se eik baar to roothoon main ussi ki maanind
Aur meri tarah se wo mujh ko manane aaye
"Yee"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
**Ye sooch ker kay badnaam na ho jao kisi din
Ker li hai tere sheher se hijrat, ussey kehna
Alif**
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Abhee khareed leen dunya kahaan kee mehngi hay
Mager zameer ka sauda bura sa lagta hay
"Yee"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
**yeh pari chehra log kaise haiN
Ghamzah o 'ashvah o adaa kia hai
Ghalib
YE se**
Re: Bait Baazi for the month January 2011
**Ye jo log hain tere hamsafar, so ye sukh main hain sabhi kis qadar
unhein raaston main hi chor kay, kabhi lout aa keh mein udaas hoon
Noon**
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Na koie sunta hay Amjad na man-ta hay issey
Hadees-a-Sham-e-Jawanee kahieen to kiss say kaheen
"Noon"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
**nakohash hai sazaa faryaadii-e-be_daad-e-dil_bar kii
mubaada! Khandah-e-dandaaN_numaa ho subH-e-mai'Hshar kii
Ghalib
YE se**
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Yeh kiya ke sab se bayaan dil ki haalateen karni
Faraz tujh ko naa aaeen mohabatteen karni
"Yee"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Ye dil ye aaseib ki nagri, maskan sochoN, wehmoN ka
soch raha hooN is nagri meiN tu kab sey mehmaan huwa
"Alif"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Next: "Alif"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
**Aaj unhen kuchh is tarah jee khol kar dekhaa kiye
ek hee lamhe mein jaise umar bhar dekhaa kiye
"yeh"
**