Re: Bait Baazi for the month January 2011
*Aaj bhi hain mere qadmoon ke nishaan awaara
Teri galeyoon mein bhatak'te thay jahaan awaara
Tujh se kya bichare tau yeh hogae apni halat
Jaise ho jaye hawa'oun mein dhuwaan awaara ...
*
Next: "Alif"

Ik ajab chaal chal gaya raasta
chaltey, chaltey badal gaya raasta
aasmaaN tha meri nigaahoN meiN
paaoN sey jab nikal gaya raasta
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Ajnabi raahoon per chalte chalte kuch yaad aaya
Kitne apnay thay jo baad mein anjaanay niklay
Jin ko raakh kiya aur phir nazar-e-aab Anwaar
Sehar huwi tau wohi auraaq sarhaany niklay ...
Next: "Ye"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Ye meri umr merey maah-o-saal dey us ko
merey Khuda merey dukh sey nikaal dey us ko
"Wao"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
vo tak rahe the hamein hans ke pii gae aansu
vo sun rahe the hamien kah sake na afasaane
"yeh"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Yun tau umeed-e-wafa tum se nahe hai koi
Phir chiraaghoon ki tarah kis ne jalaaya mujh ko
Dukh tau yeh hai ke zamanay mein mile ghair sabhi
Jo mila hai woh mila ban ke paraaya mujh ko ...
Next: "Wao"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
*Wafa ruswa nahi karna
kabhi aesa nahi karna
meiN pehley hi akeela hoN
mujhey tanha nahi karna
*
"Alif"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Izhaar-e-tamanna pe ajjab haal hai un ka
Aankhain tau raza-mand hain lab soch rahe hain ...
Next: "Noon"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Nazar meiN dhal ke ubharatey heiN dil ke afsaney
ye aur baat hey duniyaa nazar na pehchaney
"Ye"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Yeh socha thaa barasti aankh us ko rok le shaayad
Magar ashkoon ki karreyoon se kahaan zanjeer banti hai
Hazaar baar ki koshish magar mumkin nahe
Bhala khud hi banaanay se kaheen taqdeer banti hai ...
Next: "Ye"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
**yeh alag baat hai saaqi kay mujhe hosh nahin
hosh itna hai kay main tujh se faramosh nahin
NooN**
Re: Bait Baazi for the month January 2011
nigaah-e-naaz kii kaifiyateN haiN dil meN vohii
k rooH tan meN ho, sheeshah meN jis taraH ho parii**
AsGhar Husain "AsGhar" GonDvii
aglaa she'r Harf-e-"YE" se marHamat farmaaiye...shukria
**
Re: Bait Baazi for the month January 2011
**
aglaa she'r Harf-e-"YE" se marHamat farmaaiye...shukria **
Haey, is andaaz pe kon na mar jaey aey Khuda :)
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Re: Bait Baazi for the month January 2011
*Wafa ke rang me us ko manaa letey to acha tha
anaa ki jang meiN aksar judaai jeet jaati hey
*
"Ye"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
*ye arazu thee tujhe gul ke ruu-ba-ru karate
hum aur bul bul-e-betaab guftaguu karate *
"YEH"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
*ye arazu thee tujhe gul ke ruu-ba-ru karate hum aur bul bul-e-betaab guftaguu karate *
"YEH"
**
yam-e-neel_gooN meN ba_juz kaNwal kahiiN nai_navaaz na kashtiyaaN
yeh sukoot-e-shab meN kahaN kaa naGhma basaa thaa, ai saHar! ai sabaa!!!
a she'r by my DAD!
aglaa she'r Harf-e-"alif" se marHamat farmaaiye...shukria**
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Ehsan bhai, is "bul bule-e-betaab" sey bohat sey log baat karna chahatey heiN, lekin in sey baat karna khaas mushkil hey :D
*Ik arzoo hi poori parwardigar karey
mein der sey jaauN wo mera intizaar karey
*
"ye"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Haey, is andaaz pe kon na mar jaey aey Khuda :)
lol...shukria janaab e man :) aji yeh sab to bas aapkaa Husn e nazar hai :)
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Khalil bhai aap ki Urdu aur aap ke aashaar, donoN hi munfarid heiN. Bilkul alag aur nayaab :)