Re: Bait Baazi for the month January 2011
Ye moajza bhi mohabbat kabhi dikhaaey mujhey
ke sang tujh pe girey aur chott aaey mujhey
"Ye"

ye irtiqa ka chalan hai k har zamane main
purane log naye admi se darte they
"yey"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
**yeh masaa'il-e-tasavvuf, yeh tiraa bayaan, "Ghalib!"
tujhe ham wali samajhte jo na baadah_Khowaar hotaa
Ghalib
"ALIF" se**
Re: Bait Baazi for the month January 2011
ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahin
marmari taron bhari raton mein kya hota nahin
"noon"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
**nigaah e naaz kii kaifiiyateN haiN dil meN vohii
k rooH tan meN ho, sheeshah meN jis taraH ho parii
AsGhar Husain "Asghar" GonDvii
'YE" se**
Re: Bait Baazi for the month January 2011
ya mujhe afsar-e-shaha na banaya hota
ya mera taj gadaya na banaya hota
"alf"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
**aalaam-e-rozgaar ko aasaaN banaa diyaa
jo Gham huaa use Gham e jaanaaN banaa diyaa
AsGhar GonDvii
ALIF se**
Re: Bait Baazi for the month January 2011
aj tum mahfil-e-yaran pe ho maghroor bohut
jab kabhi toot ke bikhroge to yaad aunga
"alif"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Next: "Ye"

Apne Badle Miree Tasviir Nazar Aa Jaati
Tuu Ne Us Vaqt Agar Aaiinaa Dekhaa Hotaa
Hoaslaa Tujh Ko Na Thaa Mujh Se Judaa Hone Kaa
Varnaa Kaajal Tiree Aankhon Men Na Phailaa Hotaa
'Alif"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
**aaj is darja pilaa do k na kuchh yaad rahe
beKhudii itnii baRhaa do k na kuchh yaad rahe
saHir Ludhianvii
YE se**
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Next: "Alif"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain :naak: noonRe: Bait Baazi for the month January 2011
**ek gaanaa thaa:
dil lagaa kar ham yeh samjhe zindagii kia cheez hai
ishq kahte haiN kise, aur aashiqii kia cheez hai
aur ab she'r pesh-e-Khidmat hai
naawak andaaz jidhar deeda e jaanaaN hoNge
neem bismil kaii hoNge kaii bejaaN hoNge
Momin KhaN "Momin"
YE se**
Re: Bait Baazi for the month January 2011
ye

Yun lagta hai kaee raton se woh soe nahe hai shayad
Yun lagta hai kisi ki yaad ab din raat rehti hai ...
Next: "Ye"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
Noon

Next: "Wao"
Re: Bait Baazi for the month January 2011
*Wohi dard-e-dil ki alaamateiN wohi zindagi ki qabaahateiN
wohi rat'jagoN ko heiN silsiley ya teri yaad hey merey aas paas
*
Amal
Re: Bait Baazi for the month January 2011
v nice :k: is it rat’jagoon k silsilay?
Sunna hai wo bhi Mohabat ka shoq rakhtey hain
Jinhein khud khabar nahin kuch wafa ki…