Re: Bait Baazi --- February 2011
Yeh qurbatain bhi baray imtihaan layti hain...
Kisi say waasta rakhna to door ka rakhna.....
Re: Bait Baazi --- February 2011
Yeh qurbatain bhi baray imtihaan layti hain...
Kisi say waasta rakhna to door ka rakhna.....
Re: Bait Baazi --- February 2011
*Is zindagi meiN itni faraaghat kisey naseeb
itna na yaad aa ke tujhey bhool jaaeiN hum
*
"Meem"
Re: Bait Baazi --- February 2011
*Meri dua hay khuda say kay kaash lug ja'ay...
Meri hayaat kay lamhoon ki zindagi tujh ko...
*
'wow'
Re: Bait Baazi --- February 2011
*Wo aaey bazm meiN itna to Mir ney deikha
uske baad chiraaghoN meiN roshni na rahi
*
"Ye"
Re: Bait Baazi --- February 2011
Yahaan khamosh nazroon ka nazaara kaun banta hai
Bahut ghehray samundar ka kinaara kaun banta hai ...
Next: "Ye"
Re: Bait Baazi --- February 2011
**Yaad aaooN ga tujhey achey dinoN ki soorat
meiN mukammal teri tanhaai na hone dooN ga
"Alif"**
Re: Bait Baazi --- February 2011
Ab teri aankhoon mein aansoo kis leye hain 'Wasi'
Jab chor hi diya thaa tau bhula bhi diya hota ...
Next: "Alif"
Re: Bait Baazi --- February 2011
Apni haalat ka bhi ehsaas nahi hey hum ko
hum ne auroN se suna hey ke pareshaaN heiN hum
"Meem"
Re: Bait Baazi --- February 2011
Mere nahe tau apne hi baare mein baat kar
Khamosh tu rahay tau bahut faasila lagay ...
Next: "Ye"
Re: Bait Baazi --- February 2011
**ye zaruri nahin har shakhs masiha hee ho
pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaayaa na karo
"wao"**
Re: Bait Baazi --- February 2011
Next: "Wao"
Re: Bait Baazi --- February 2011
**woh aayenge aaj ai bahaar-e-muhabbat
sitaaron kay bistar mein kaliyaan bichha dein
"noon"**
Re: Bait Baazi --- February 2011
Nahee ab tu koi malaal bhi, kisi wapsi ka khayal bhi
Dil-e-bekasi ne mita diya mere dil mein thaa bhi agar koi ...
Next: "Ye"
Re: Bait Baazi --- February 2011
**yeh zakhm gul_zaar ban gaye hain ye aahen-sozaan ghataa banii hai
yeh dard mauj-e-sabaa huaa hai ye aag dil kee sadaa banii hai
"ye"
**
Re: Bait Baazi --- February 2011
Yadoon ki khalish hai na dharakne ki sada hai
Mehsoos yeh hota hai ke dil toot gaya hai ...
Next: "Ye"
Re: Bait Baazi --- February 2011
Yey Shab-e-Firaq Yey Baybasii Hain Qadam Qadam Pay Udasiyaan
Mairaa Saath Koi Na Day Saka Mairee Hasratain Hain Dhuwan Dhuwan
"noon"
Re: Bait Baazi --- February 2011
Na-jane kaun sa dukh zehar ban ke phaila hai
Jissay bhi dekho woh shaks udaas hai bahut ...
Next: "Tay"
Re: Bait Baazi --- February 2011
tere hote hue mahafil mein jalaate hain chiraagh
log kyaa saadaa hain suuraj ko dikhaate hain chiraaG
Re: Bait Baazi --- February 2011
Ghamoon ke bojh ne itna daba diya hum ko
Ke jab milli humein khushyan tau muskura na sake ...
Next: "Ye"
Re: Bait Baazi --- February 2011
ye merii Gazalein ye merii nazmein tamaam terii hikaayatein hain
ye tazkirein terii lutf ke hain ye sher terii shikaayatein hain
"noon"