Bait Baazi --- February 2011

Re: Bait Baazi --- February 2011

**yuun chup rahana Theek nahin koi meethi baat karo
mor chakor papihaa koyal sab ko maat karo

"vao"
**

Re: Bait Baazi --- February 2011

**woh kitnay roz dil mein bekali abbad rekhay ga
rahay ga aur kitnay din khafa malooom ker lain ge

ye''**

Re: Bait Baazi — February 2011

Aap ney shaed recently ye sheir post kia tha. Isn’t it? :bummer:

**YuN to tey ho bhi chuka tark-e-mohabbat karna
kitna mushkil hey magar khud usey rukhsat karna
**

“Alif”

Re: Bait Baazi --- February 2011

meray khayal sey to nahiN kiya..check kar lijiye khud hi :D

**Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay haiN

noon''**

Re: Bait Baazi --- February 2011

*NighaaheiN bolti heiN be'tahaasha
mohabbat paagloN ki guftugu hey
*

"Ye"
Ye sheir pehley Muskaan ney post kia tha... I just loved it :)

Re: Bait Baazi --- February 2011

ye balaa ki inayatain ye ghazab ki mehebani
meri khairyat bhi pochi, to kisi aur ki zabani

Re: Bait Baazi --- February 2011

**ya tu aaj humey apnaa- le, ya tu aaj humara ban
daikh k waqt guzerta jaye, kon abad tak jeeta hey

ye''
**

Re: Bait Baazi --- February 2011

*Ye aur baat hey ke ta'aarruf na ho saka
hum zindagi ke saath boaht door tak gaey
*

"Ye"

Re: Bait Baazi --- February 2011

**Yeh bhi kya manzar hai barhtay hain na ruktay hain qadam...
tak raha hoon door say manzil ko main, manzil mujhay

ye''
**

Re: Bait Baazi --- February 2011

*Ye mohabbat ke haadsey akser
sheesha-e-dil ko torr deitey heiN
tum to manzil ki baat kertey ho
log rahooN meiN chorr deitey heiN
*

"Noon"

Re: Bait Baazi --- February 2011

**Na tu milla na khud he say nibh saki apni
Tu phir ye umar kahaN humnay rai'yeegaN ki hay

**

Re: Bait Baazi --- February 2011

**Ya Rab hujoom-e-dard ko de aur wusa'taiN
daman to kya abhi meri ankhain bhi nam nahiN

noon''**

Re: Bait Baazi --- February 2011

Na janey ho gaya hooN is qadar hassaas meiN kab sey
kisi sey baat karta hooN to aaNkheiN bheeg jaati heiN

"Noon"

Re: Bait Baazi --- February 2011

**nai ruton main dukhon ke silsile bhi hain naye
woh zakhm taazah huye hain jo bharne wale thay

ye''**

Re: Bait Baazi --- February 2011

**Yeh Faasley, Yeh Sarhaden
Ik Pal Mein Mitaane Ki Khwahishen
Rah-Rah Ke Shor Machaati Hain
Jab Tera Khayaal Ata Hai

"ye"

**

Re: Bait Baazi --- February 2011

**yadoN k garebanoN k Rafu
par dil ki guzar kab hoti hai
ik bakhiyaa udheRa, ik siyaa
yooN Umr basar kab hoti hai

ye''**

Re: Bait Baazi --- February 2011

**Ye raah akeli katee hai yaan saath na koi yaar chale
Us paar na jaane kya paain es paar to sab kuch haar chale

"ye"
**

Re: Bait Baazi --- February 2011

**yooN barasti hai tassawur maiN puraani yaadaiN
jaisey barsaat maiN rim-jhim ka samaaN hota hai

ye''****
**

Re: Bait Baazi --- February 2011

**Ye mere ishq ki majboorian muaaz Allah
Tumare raaz tumhi sey chupa raha hon mein

Batane wale wahin par bataten hain manzil
Hazar baar jahan se guzar chuka hon mein

"noon"

Shukar hai ye say toh jaan chooti.
**

Re: Bait Baazi --- February 2011

**Naam aatay hi tera hoNtoN par
Phool khiltay haiN lafz ban ban kar

re''**