Bait Baazi --- February 2011

Re: Bait Baazi — February 2011

very nice. :lajawab:

Re: Bait Baazi --- February 2011

Thanks :-)

**ik Dil ka dard tha rahaa zindagi k saath
ik Dil ka chain tha k sada dhoohndtay rahay

ye''**

Re: Bait Baazi — February 2011

Wah…aaj to aap bharpoor form meiN lag rahi heiN :clap:

Re: Bait Baazi --- February 2011

*Yehi nahiN ke mera dil bhi merey bas meiN na tha
jo tu mila to meiN khud apni dastaras meiN na tha
*

"Alif"

Re: Bait Baazi --- February 2011

Thanks :-d

apni baichain mizaaji ka gilaa kis say karaiN
har koii bhaTka huwaa dard liye phirta hai

ye''

Re: Bait Baazi --- February 2011

*YuN to her shaam umeedoan mein guzer jati hey
aaj kuch baat hey jo shaam pe rona aayaa *

"Alif"

Re: Bait Baazi --- February 2011

aksar ye sochtay haiN akelay maiN beith kar
** jab tum thay meray paas, woh lamhe kidhar gae

ye''
**

Re: Bait Baazi --- February 2011

ye b adaab hamare hain tumhain kya maloom
hum tumhain jeet k hare hain tumhain kya maloom...

Re: Bait Baazi --- February 2011

*Mohabat ho to be-had ho nafrat ho to be-paya
koi bhi kaam kam karna hameiN hargiz nahi aaya *

"Alif"

Re: Bait Baazi --- February 2011


*
In rishtoon ki nazakat ko tum kya jaano
Narm lafzoon se bhi lag jati hain chotain aksar ...*

Next: "Ray"

Re: Bait Baazi --- February 2011

Raat bhar hum ne pukara tujh ko
raat bhar hijr ne soney na dia

"Alif"

Re: Bait Baazi --- February 2011

Aa ja ke abhi zabt ka mosam nahi guzra
aa ja ke pahaarroN pe abhi barf jami hey
khushbu ke jazeeroN sey sitaaroN ki hadoN tak
is shehar meiN sab kuch hey bas teri kami hey

" Yay "

Re: Bait Baazi --- February 2011

Sahi qat'a kuch yuN hey:

Aa ja ke abhi zabt ka mosam nahi guzra
aa ja ke pahaarroN pe abhi barf jami hey
khushbu ke jazeeroN sey sitaaroN ki hadoN tak
is shehar meiN sab kuch hey bas teri kami hey

Re: Bait Baazi --- February 2011


*
Yaan lamha-e-hayaat bahut mukhtasir hai dost
Kya tum ko bataun ke fasaana taweel hai ...*

Next: "Ye"

Re: Bait Baazi --- February 2011

lijiyay ap ka copy paste ker diya, lakin main nay jahan parha hai wahan wohi likha hai jo main nay yahan likha.

Re: Bait Baazi --- February 2011

Ab yaad rakhye ga, sahi yehi hey jo aap ney correct kia hey :)

Re: Bait Baazi --- February 2011

kia maloom jis nay bhaija ho us nay apnay jazbaat mix & match ker diyay hoon :P

Re: Bait Baazi --- February 2011

Kis ne bheja hai, humein bhi tau bataeyey ... :D

Re: Bait Baazi --- February 2011

**yooN to har shaam umeedoN maiN guzar jaati thi
aaj kuch baat hai jo shaam pe ronaa aaya
jub hua zikr zamaanay mein mohabbat ka Shakeel
mujh ko apnay dil-e-naakaam pe ronaa aaya

alif''

**

Re: Bait Baazi --- February 2011

Aankhoon mein aansoo aa jatay hain
Phir bhi laboon per hansi rakhni parti hai
Muhabbat bhi kya cheez hai yaaroo
Jis se karte hain ussi se chupani parti hai ...

Next: "Ye"