Bait Baazi --- February 2011

Re: Bait Baazi --- February 2011

**Na Chand aTka kisi Jaga na badliyaN aTkeeN
hum Uss Kii Raat K Aangan maiN baar baar gae

ye''
**

Re: Bait Baazi --- February 2011

Ye log kesey magar dushmani nibhaatey heiN
hameiN ko raas na aaeiN mohabbateiN karneiN

"Noon"

Re: Bait Baazi --- February 2011

**nahiiN minnat-kash-e-taab-e-shuneedan daastaaN merii
Khamoshii guftugu hai, be-zubaanii hai zubaaN merii

ye''**

Re: Bait Baazi --- February 2011

*Ye kesa khaof tha rakht-e-safar bhi bhool gaey
wo kon log the jo apney ghar bhi bhool gaey!
*

"Ye"

Re: Bait Baazi --- February 2011

**ye khaab hai, khushbu hai k jhonka hai k pal hai
ye dhuhnd hai baadal hai k saaya hai tum ho

wao''**

Re: Bait Baazi — February 2011

“wao” ka aes sheir udhaar mil sakta hey please? :bummer: … kal waapis kar dooN ga :slight_smile:

Re: Bait Baazi — February 2011

haiN? :-d

Re: Bait Baazi --- February 2011

Woh bhi kya ajjab shaks thaa ke jis ki zaat per
Jab aitbaar barh gaya tau ikhteyar ghatt gaya ...

Next: "Alif"

Re: Bait Baazi --- February 2011

Woh bhi kya ajjab shaks thaa ke jis ki zaat per
Jab aitbaar barh gaya tau ikhteyar ghatt gaya ...

Next: "Alif"

Re: Bait Baazi --- February 2011

**Ansuu nahin hai aankhon mein lekin tere bagair
voh kanpate huye hain dil-e-beqaraar mein

"noon"
**

Re: Bait Baazi --- February 2011


*
Na-jane kaun sa dukh zehar ban ke phaila hai
Jissay bhi dekho woh shaks udaas hai bahut ...*

Next: "Tay"

Re: Bait Baazi --- February 2011

**tere Khayaal se lau de uThii hai tanhai
shab-e-firaaq hai yaa terii jalwa-araai
rah-e-hayaat maiN kuch marhalay to dekh liye
ye aur baat terii aarazuu na raas aai

Nasir kazmi

ye''
**

Re: Bait Baazi --- February 2011

**yeh shiishe yeh sapne yeh rishte yeh dhaage
kise kyaa Khabar hai kahan Tuut jaayen
muhabbat ke dariyaa mein tinake vafaa ke
na jaane ye kis mor par Duub jaayen

"noon"
**

Re: Bait Baazi --- February 2011

na baat poori hui thii ki raat toot gayii
** adhoore khawaab ki aadhi sazaa maiN jeete haiN**

** noon''**

Re: Bait Baazi --- February 2011

**Nikle Hum Duniya Ki Bheer Mein To Pata Chala
Kay Har Woh Shaks Akela Hai Jo Aapno Pey Bhrosa Karta Hai

"ye"
**

Re: Bait Baazi --- February 2011


*
Yeh sard raatain bhi kis qadar zaalim hain 'Wasi'
Ba-zaahir sard hoti hain per in mein dil sulaghta hai ...*

Next: "Ye"

Re: Bait Baazi --- February 2011

YuN teri rah'guzar se deewaana-vaar guzrey
kaaNdhe pe apne rakh ke apna mazaar guzrey

"Ye"

Re: Bait Baazi --- February 2011


*
Yehi hai na tumhein hum se bichar jane ki jaldi hai
Kabhi milna tumhare maslay ka hal nikalenge ...*

Next: "Ye"

Re: Bait Baazi --- February 2011

**Yahan bhii hon gay aghyaar anjuman Aaraa
Mein apnay dil ki bhari mehfiloN mein tanhaa huN

noon''**

Re: Bait Baazi --- February 2011

nahi hai na umeed iqbal apni kashtay weeran say
zara num hoo tu yeh matti bari zarkhaiz hai saaqi

"Yeh"