Bahut tanha sahi lekin
Yeh tanhaee likhi jo hai naam mere
Yeh sab meri nahee jaanaan !
Kabhi socha karo tum bhi
Mere lamhay … sabhi lamhay
Tumhare naam hotay thay
Meri shaamain, meri subhain
Tumahre naam hoti theen
Tumhare sath gar chaltay koi zarra
Meri aankhoon mein aajata
Tu tum bechain ho jaati
Tumhare hath resham se mere kandoo per aajatay
Wohi romaal komal sa
Meri aankhoon mein aajata
Tumhari saans phir goya
Meri aankhoon mein yun chalti
Masehaaee ko khud tum ne apne saath hi paala hai
Meri aankhoon ke beenaee
Kaheen se barh ke aajati
Achaanak haath jab mera
Tumhare tan se choo jaata
Tumhare jism ka resham achanak hi ulajh jaata
Tumhara lams lekin mere jism-o-jaan ka sathi thaa
Wohi lamhay, wohi mausam ab hain lekin
Wohi zarray meri aankhoon mein partay hain
Magar ab tu meri khaatir koi be-kal nahee hota
Mere kandhoo pe haath apne aur
Aankhoon mein masehaae ki saansain bhi nahee bharta
Mujhe aankhoon ki beenaii bahut kamzoor lagti hai
Aur ab tu surkh doray aankh mein rehtay hain pehroo tak
Unhain yeh kaun samjhaaye
Masehaee ki khaatir aablay aankhoon pe mat bandho
Magar aadat jo hojaye
woh dil se kab nikalti hai
Bahut tanha hoon mein lekin
Yeh dil ko kaun samjhaaye …
Re: Bahut tanha hoon mein lekin ...
very touchy :(
Re: Bahut tanha hoon mein lekin …
wah bouhat khoob… very nice.. :k:
Re: Bahut tanha hoon mein lekin …
Nice one zawanfira aka…sorry bhool gaya ke kaun.. :k:
Re: Bahut tanha hoon mein lekin ...
Thank you friends for your appreciation ...
Capri ... Its me Arif Nawaz ... Itni jaldi bhool gaye ?
Khair koi baat nahee ... Thanks for your visit :)
Re: Bahut tanha hoon mein lekin …
buhat khoob :k:
Re: Bahut tanha hoon mein lekin …
Very Nice ARIF… Keep it Up :k: ![]()
Re: Bahut tanha hoon mein lekin ...
Thank you ...
Re: Bahut tanha hoon mein lekin ...
Very Nice Arif aap nay tu kafi acha likha hai ..........
Re: Bahut tanha hoon mein lekin ...
Very nice... :-)
Re: Bahut tanha hoon mein lekin …
Bas naam bhool raha tha, waise to yaad ho ![]()