*
Tum mujhe alwida na kehna
Bahut takleef deta hai
Kisi ko 'Alwida' kehna
Dikhai kuch nahe deta
Sunai kuch nahe deta
Faqat kuch
Kapkapaatay lafz
Jo hontoo per thehar jayain
Ubharti doobti dharkan
Ussay awaaz deti hai
Koi apna ke jis ka naam
Apne dil pe likha ho
Ke jis ke wastay dil se
Duayain hi nikalti hoo
Bahut takleef deta hai
Ussi ko 'Alwida' kehna
Jissay dil mein basaaya ho
Baray hi maan se jis ko
Kabhi apna banaaya ho
Bahut takleef deta hai
Kisi ko 'Alwida' kehna ...
*
Re: ~~ Bahut Takleef Deta Hai … Kisi ko Alwida Kehna ~~
:hinna:
NO DOUBT kisi ko Alwida kehna bohat takleef dey hota hai.
Very Nice Sharing…:k:
khush rehiye.
Re: ~~ Bahut Takleef Deta Hai … Kisi ko Alwida Kehna ~~
very nice:k:
Lagta hai aap bakhoobi is takleef se aashna hain Babri
Dua ke leye shukriya …
Re: ~~ Bahut Takleef Deta Hai ... Kisi ko Alwida Kehna ~~
hmmmmm...yup itz very painful...nice poetry
Re: ~~ Bahut Takleef Deta Hai … Kisi ko Alwida Kehna ~~
Tum mujhe alwida na kehna
Bahut takleef deta hai
Kisi ko ‘Alwida’ kehna
Dikhai kuch nahe deta
Sunai kuch nahe deta
Faqat kuch
Kapkapaatay lafz
Very true :hinna: Arif your choice is simply awesome
Re: ~~ Bahut Takleef Deta Hai ... Kisi ko Alwida Kehna ~~
Zara-nawazi ke leye shukriya Sannan