LP
June 1, 2012, 8:06pm
1
Bahut roya woh hum ko yaad kar ke
Hamaari zindagii barbaad kar ke PalaT kar phir yahiN aajayeNge hum Woh dekhe to hamaiN aazaad karke Rihaayii ki koi soorat nahii hai Magar haaN! minnat E saiyaad kar ke Badan mera chhuaa tha usne lekin Gaya hai rooh ko aabaad kar ke Har aamir tool dena chaahta hai Muqarrar zulm ki mee’aad kar ke
ehsan
June 1, 2012, 8:15pm
2
Re: Bahut roya woh hum ko yaad kar ke
Aap nay uss per itna zulm kiya woh toh kiya hur koi roya uss kay saath.
:k:
LP
June 1, 2012, 8:25pm
3
Re: Bahut roya woh hum ko yaad kar ke
zulm karne waley sey ziada zulm sehney wala ziada qsurwar hota hey
KKF
June 1, 2012, 8:27pm
4
Re: Bahut roya woh hum ko yaad kar ke
bahot royaa vo hamko yaad kar ke...
kitnaa yaad kar ke? sab kahne kii baateN haiN yaa sachchaaii bhii hai is meN? vaise, merii Ghazal kaa bhii ek misr'a aisaa hii thaa:
girafta dil the, bahot roye yaad kar ke tujhe! :)
vaise, maiN to sachchii muchchii nahiiN royaa thaa...sirf dil ro rahaa thaa! :)
Re: Bahut roya woh hum ko yaad kar ke
Correct
to jo zulm kare us k liye
:faris::faris:
LP
June 2, 2012, 11:54am
6
Re: Bahut roya woh hum ko yaad kar ke
bahot royaa vo hamko yaad kar ke…
kitnaa yaad kar ke? sab kahne kii baateN haiN yaa sachchaaii bhii hai is meN? vaise, merii Ghazal kaa bhii ek misr’a aisaa hii thaa:
girafta dil the, bahot roye yaad kar ke tujhe!
vaise, maiN to sachchii muchchii nahiiN royaa thaa…sirf dil ro rahaa thaa!
ye sirf kehne wali baat nahi hoti
umm no
Re: Bahut roya woh hum ko yaad kar ke
Har aamir tool dena chaahta hai
Muqarrar zulm ki mee’aad kar ke
Bilkul ji Zia ul Haq aur Musharraf iski jeeti jagti misalen hain
Re: Bahut roya woh hum ko yaad kar ke
:(
jiia
June 3, 2012, 9:21am
9
Re: Bahut roya woh hum ko yaad kar ke
Har aamir tool dena chaahta hai
Muqarrar zulm ki mee’aad kar ke
Bilkul ji Zia ul Haq aur Musharraf iski jeeti jagti misalen hain
mujhy bhi yahi dono yad aaey akhri shaar per
Re: Bahut roya woh hum ko yaad kar ke
mujhy bhi yahi dono yad aaey akhri shaar per
Gr8 minds think alike :D
jiia
June 3, 2012, 9:44am
11
Re: Bahut roya woh hum ko yaad kar ke
Gr8 minds think alike
LP
June 3, 2012, 11:09pm
12
Re: Bahut roya woh hum ko yaad kar ke
Har aamir tool dena chaahta hai
Muqarrar zulm ki mee’aad kar ke
Bilkul ji Zia ul Haq aur Musharraf iski jeeti jagti misalen hain
woh kaise ?