Bahadur Shah Zafar

Lagta Nahi Hai Jee Mera Ujray Dayyar Main
Kiski Bani Hai Aalam-e-Napaayedaar Main

Umr-e-Daraaz Maang K Laaye Thay Chaar Din
Do Aarzoo Main Kut Gaye Do Intezaar Main

Kehdo In Hasraton Say Kahin Aur Jaa Basaain
Itni Jagay Kahan Hai Dil-e-Daagh Daagh Main

Just going from memory here

Ya To Afsar Mera Shahana Banaya Hota
Ya Mera Taaj Gadayana Banaya Hota
Sufiyon K Jo na tha laiq-e-majlis to mujhay
Laiq-e-Jalsa-e-Rindana Banaya Hota

Dil-e-Sad Chaak Banaya To Bala Say Laikin
Zulf-e-Mushki ka teri Shana banaya Hota

Re: Bahadur Shah Zafar

Umr-e-Daraaz Maang K Laaye Thay Chaar Din
Do Aarzoo Main Kut Gaye Do Intezaar Main

Wah. :k:

Re: Bahadur Shah Zafar

nice sharing. I like this 'ya mujhe afsar e shahana banaya hota'

ya mujhe afsar-e-shahana banaya hota,

ya mera taj gadayana banaya hota

khaksaari ke liye garche banaya tha mujhe,

kaaash sang-e-dar-e-jaanana banaya hota

nasha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko,

umr ka tang na paimana banaya hota

dil-e-sid chaak banaya to bala se lekin,

zulf-e-maskeen ka teri shaanah banaya hota
sufion ke jo na tha laeq-e-sohbat to mujhe,

qaabil-e-jalsa-e-rindaana banaya hota
tha jalana hii agar douri-e-saqi se mujhe,

to chiraag-e-dar-e-mai khana banaya hota

apna deewana banaya mujhe hota tune

kyun khiradmand banaya na banaya hota
sholaa-e-husn chaman mein na dikhaaya us ne

varanaa bulbul ko bhii parwana banayaa hota
roz maamura-e-duniya mein kharabi hain "zafar",

aisi basti ko to veerana banaya hota!

Re: Bahadur Shah Zafar

love the ghazal
but how come there are differences in some of the wording?

Re: Bahadur Shah Zafar

google is the culprit fed by roman Urdu

Re: Bahadur Shah Zafar

so mushki becomes maskeen?
and to becomes mujhe? lol

Re: Bahadur Shah Zafar

Yeh wohi nikama shezada hai.. jisko akhri din main apni jaan bachany kay liye bhi nokaron ki zarorat pari thi…:hmmm:

Re: Bahadur Shah Zafar

aap itnay yaqeen k saath kesay keh saktay hain yeh baat?

Re: Bahadur Shah Zafar

tareekh yehi batati hai

Re: Bahadur Shah Zafar

hamen bhi pata chale tareekh kia batati hai? :hmmm:

Re: Bahadur Shah Zafar

Absolutely love it