bahaar aee
to jaisay yak-baar loat aey
hein phir adam se
wo khwaab saaray
shabaab saaray
jo tere honton pe mar mitay thay
jo mit k har baar phir jiye thay
nikhar gaey hein
gulaab saaray
jo teri yaadon se mushkabuu hein
jo tere ushaaq ka lahuu hein
ubal paray hein
azaab saaray
malaal-e-ehwaal-e-dosta’n bhi
khumaar-e-aaghosh-e-maykasha’n bhi
ghubaar-e-khaatir k baab saaray
tere hamaray sawaal saaray
jawaab saaray
bahaar aee
to khul gaey hein naey siray se
hisaab saaray …
BAHAAR AA CHUKI HAI. Sho’ra ka pasandeeda mosam. Anybody who wants 2 share stuff regarding “BAHAAR” is most welcomed.
SJ
February 9, 2007, 10:25am
2
Re: Bahaar
nice...................:)
Re: Bahaar
Bahaar ka tou abhi door door taq koi naam-o-nishaaN nahi anyhow Tina sani ney buhat achi sung ki hey, thanku for sharing aabla_pa:k:
Re: Bahaar
Lahore mein to BAHAAR aa gaee hai. DOnt know which part of the world u live. :)
Re: Bahaar
aa gaee fasle-janoo'n chaak gir-e-baa'n waalo
sil gaey hont koi zakhm silay ya na silay
dosto bazm sajaao k bahaar aee hai
khil gaey zakhm koi phool khilay ya na khilay
Re: Bahaar
hmm nice waisay khi main bh agae hahahah tc
Re: Bahaar
Thanx. Everybody 4 the comments. But aap friends kuch contribute nahi kar rahay. Mujhay hi sari mehnat karni par rahi hai
@ SN : Lagta to nahi k KHI mein bahaar aee hai. Aee hai to kuch irshaad karein. Hamein b pata chalay
Re: Bahaar
sau baar chaman mehka
sau baar bahaar aee
dunya ki wohi ronak
dil ki wohi tanhaee
ek lehza bahay aansu
ek lehza hansi aee
seekhay hein naey dil nay
andaaz-e-shakeebaee
dekhay hein bohot hum ne
hangaamay mohabbat k
aghaaz bhi ruswaee
anjaam bhi ruswaee
har dard-e-muhabbat say
uljha hai gham-e-hasti
kya kya hamein yaad aaya
jab yaad teri aee
ye bazm-e-muhabbat hai
is bazm-e-muhabbat mein
deewanay bhi shedaee
farzaanay bhi shedaee
Re: Bahaar
utha kar choom li hein chand murjhaee hui qaliya’n
na tum aey to youn jashn-e-bahaara’n kar liya mein nay
**
**