Bahaar ki badnaseeb raatain bula rahi hain chale bhi aoo

Agar-che hum ja rahe hain mehfil se naala-e-dil-e-figar ban kar
Magar yaqeen hai ke laut aayenge naghma-e-nau bahaar ban kar

Yeh kya qayyamat hai baaghbaano ke jin ki khatir bahaar aaee
Wohi shagofay khatak rahe hain tumhari ankhon mein khar ban kar

Jahaan wale hamaare geetoon se lenge jaeza siskeyyon ka
Jahaan mein phail jayenge hum bashar bashar ki pukar ban kar

Kisi sitaray ka roop le kar kisi ke dil ka qaraar ban kar

Talaash manzil ke marhallon mein yeh hadisa ek ajeeb dekha
Faraib rahoon mein beth jaata hai surat-e-aitbaar ban kar

Gharoor-e-masti ne maar daala wagar na hum ji hi laitay
Kisi ki aankh ka noor ho kar kisi ke dil ka qaraar ban kar

Deyaar-e-mugaan mein aa kar yeh ek haqeeqat khuli Sagar
Khuda ki basti mein rehne wale tu loot laitay hain yaar ban kar

Lajavaab :k:

:k: very nice :slight_smile:

bohat khoob :k::k:

very nice :k:

Re: Bahaar ki badnaseeb raatain bula rahi hain chale bhi aoo

[QUOTE]
*Originally posted by Ashk-e-Rawan: *
Agar-che hum ja rahe hain mehfil se naala-e-dil-e-figar ban kar
Magar yaqeen hai ke laut aayenge naghma-e-nau bahaar ban kar

Yeh kya qayyamat hai baaghbaano ke jin ki khatir bahaar aaee
Wohi shagofay khatak rahe hain tumhari ankhon mein khar ban kar

Jahaan wale hamaare geetoon se lenge jaeza siskeyyon ka
Jahaan mein phail jayenge hum bashar bashar ki pukar ban kar

Bahaar ki badnaseeb raatain bula rahi hain chale bhi aoo
Kisi sitaray ka roop le kar kisi ke dil ka qaraar ban kar

Talaash manzil ke marhallon mein yeh hadisa ek ajeeb dekha
Faraib rahoon mein beth jaata hai surat-e-aitbaar ban kar

Gharoor-e-masti ne maar daala wagar na hum ji hi laitay
Kisi ki aankh ka noor ho kar kisi ke dil ka qaraar ban kar

Deyaar-e-mugaan mein aa kar yeh ek haqeeqat khuli Sagar
Khuda ki basti mein rehne wale tu loot laitay hain yaar ban kar
[/QUOTE]

Very nice...

Ajeeb hotay hain rukhsatay adab e mahfil behi
Ka uth kay vo behi chala jis ka koyee ghar na tha