baghta hey

Re: baghta hey

aap kee urdu masha Allah kaafi pur asr hai...
aap kaY nazdeek shaairi koi beemaari hai yaa koi buri aadat... mubtala - ibtilaa -
baqol iqbal

mubtala-e-dard koi uzu ho, roti haiN aankH
kiss qadar hamdard saaraY jism kee hoti hai aankH

laikin

aaNkh waaloN ko khabar kiyaa
bay khudi kiyaa cheez hai

haaN

DushwariyoN kaY daqyaanoosi khiyaalaat maiN
kissi kee anaa aur khud daari kaa baheemaana qatal
kaY uss kaY baa'd chaahaY jo kuch ho woh kar guzraY
laikin chaahay bhee tau bhee hargiz naa paaye saNbhal :)