Lecture room mein Professor Sahab lecture dey rahey thay kay eik baat per bahass shuru hogayi kay insaan kay marnay kay baad roohein nahin marteen balkay zinda rehti hain. Kuch shsagirdon ka nazaryaa tha kay roohein marnay kay baad kisi dosrey jisam mein daakhil hojaati hain.
Isi dauraan eik larkay nay uth kar sawaal kiya - Agar merey marnay kay baad meri rooh kisi gadhay kay jisam mein chali gayi to phir kiya hoga?
Professor Sahab itminaan sey bolay - Munnay, fikar mat karo, roohein kabhi apnay puranay jisam mein wapis nahin jaateen.