jahannum sard hai, aur jannat key dar khulwaye jaatey hain
sar-r-mehshar pujaari husn key bulwaye jaatey hain
sehr ki zao, shafaq ki surkhiyaan, barsaat key badal
mujhe hamraaz paaker yeh manaazir khaye jaatey hain
najaaney kitni rangeen suhbatein hain meri nazron mein
bas aey muztarib! meri aankhon mein aanso aaye jaatey hain
koi had hi nahi is ahtaram-e-aadmiyyat ki
badi karta hai dushman, aur hum sharmaye jaatey hain