~ Badan ke maqbaray mein hum ussay dafna ke bethay hain ~

Ussay ab bhool hi jaayain Jissay hum chor kar peeche Bahut aagay nikal aaye

Bahut aagay nikal aaye
Ke hum ko door jaana thaa

Ke woh ek natawaan larki
Woh bhai, baap ki gairat
Woh dil haar huwi larki
Bahut farsooda rasmon ki
Woh ek maari huwi larki

Jissay hum chor kar peeche
Bahut aagay nikal aaye

Suna hai khoon roti hai
Abhi tak yaad karti hai
Hamaari yaad mein ab tak
Bahut fareyaad karti hai

Magar ab kya kare koi
Ke dil ko kar chuke patthar
Bahut aasooda rehte hain

Hum us ke pyar ki baatain
Na sunte hain na kehtay hain

Ke in baatoon se kya haasil
Badan ke maqbare mein hum
Ussay dafnaa ke bethay hain
Jissay tum rooh kehte ho…

bohut khoob

Nice :k:

Beautiful :)