badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN

badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN
ke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN maiN

tujhii pe Khatm hai jaanaaN mire zavaal kii raat
tuu ab tulu bhii ho jaa, ke Dhal rahaa huuN maiN

bulaa rahaa hai miraa jaamaa-zeb milne ko
to aaj pairahan-e-jaaN badal rahaa huuN maiN

Ghubaar-e-rahguzar kaa ye hauslaa bhii to dekh
havaa-e-taazaa! tire saath chal rahaa huuN maiN

maiN Khvaab dekh rahaa huuN ke vo pukaartaa hai,
aur apne jism se baahar nikal rahaa huuN maiN

Re: badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN

very nice.:k:

baa-vafaa’ii kii adaa paane lagaa huuN tujh meN

baa-vafaa’ii kii adaa paane lagaa huuN tujh meN
ai jafaa-dost ye kyaa dekh rahaa huuN tujh meN

tuu daryaa hai ke jiskaa ko’ii saahil hii nahiiN
maiN safiine kii tarah Duub gayaa huuN tujh meN

tere chehre se haTaa’ii nahiiN jaatii nazreN
kyaa Khabar der se kyaa dekh rahaa huuN tujh meN

meraa daavaa hai ke tuune bhii na dekhe hoNge
aise jalve ke jo maiN dekh rahaa huuN tujh meN

paas itnaa ke terii saaNsoN se Takraatii hai saaNs
duur itnaa ke tujhe dhuuNd rahaa huuN tujh meN

bevafaa terii zubaaN par ye vafaa kii baateN
aisaa lagtaa hai ke maiN bol rahaa huuN tujh meN