badal gaya to kiya huwa..ke dil ka woh bura nahin
usay yooN bad’dua na do…woh shakhs bay wafa nahin
hikayataiN meri sabhi… na sun sako gay humnasheeN
yeh dastaN hai dard ki…yeh dil ka maajra nahin
ajab hi zaabtay rahay..nazar ke is dayaar main
jo aik bar gir gaya…to phir say woh utha nahin
na kholna yahaN ke dar..ke dil nagar ajeeb hey
jo zakhm ban geya yahaN…wuh umr bhar bhara nahin
kiyon manzilaiN alag huweeN? juda huwe kiyN rastay?
ya main ulajh gaii kahiN…ya wuh samajh saka nahin..!
baghair jiske aik pal bhi kaatna muhaal tha
umar huwi ke uska ab..koi ata pata nahin…
hathailiyoN main aaj tak usi ka naam darj hai
main kaisay maan looN bhala..? mera woh ab raha nahin
nahin kaho isay anaa…yeh aajzi ka zau’m hai
main toot kar bikhar gaii…magar yeh sar jhuka nahin
khabar kiya ho sakay tujhe…ke main hooN kis azaab main!
tu bay rukhi ki aag main..meri tarha jala nahin
mehaz yeh farq reh gaya .. muhabbatoN ki dorr main
main uski ho gaii magar…woh mera ho saka nahin
Re: – badal geya tou kya huwa–
umda ghazal gul :k:
Amal
3
Re: – badal geya tou kya huwa–
Gul bohat khoobsoorat ghazal hey :k: Thanx a lot for sharing it with us 
Re: -- badal geya tou kya huwa--
Thanku for liking:)
Re: -- badal geya tou kya huwa--
bohat he khoooooooooooob
excellent Gul jee
Re: -- badal geya tou kya huwa--
greattt sharing!!
SJ
7
Re: -- badal geya tou kya huwa--
Bohat Khoob!!!
:)
Re: – badal geya tou kya huwa–
bohat khoob :k:
Re: -- badal geya tou kya huwa--
Gul-e-Tasbee, ye toh ik moti ka daana hae. khuubsurat.
Re: -- badal geya tou kya huwa--
Buhat Khoob Gul-e-Tasbeeh :)