Aankhon ka rang baat ka lahja badal gaya
wo shaqs ek shaam mein kitna badal gaya
kuch din tu mera aks raha aeene pe naqsh
phir yun hua ke khud mera chehra badal gaya
jab apne apne haal pe hum tum na rah sake
tu kya hua jo hamse zamana badal gaya
koee bhi cheez apni jagah par nahi rahi
jaate he ek shaqs ke kya kya badal gaya
ek sar-kushi ki mauj ne kaesa kiya kamal
wo be-niyaaz saare ka saara badal gaya
hairat se saare lafz usse dekhte rahe
baaton mein apni baat ko kaisa badal gaya
kehne ko ek seh’n mein diwaar he bani
ghar ki fiza makaan ka naqsha badal gaya
shayad wafa ke khel se ukta gaya tha wo
manzil ke paas aa ke jo raasta badal gaya
qayam kisi bhi haal pe dunya nahi rahi
taabir kho gaee kabhi sapna badal gaya
manzar ka rang asl mein saya tha rang ka
jis ne usse jidhar se bhi dekha badal gaya
andar ke mausam ki khabar us ko ho gaee
uss nau-bahar-e-naaz ka chehra badal gaya
aankhon mein jitne ashq thae jugnoo se ban gaye
wo muskuraya aur meri dunya badal gaya
apni gali mein apna he ghar dhuundte hain log
Amjad ye kon shahar ka naqsha badal gaya
By: Amjad Islam Amjad